zakhm kuch naye purane aaj bhi taza hai

zakhm kuch naye purane aaj bhi taza hai,
nasoor ban chuke hain jo dard kuch jada hai,

roti hai bebasi bhi mere naseeb par
ulajhti hi ja rahi hai zindagi bas maut ka sahara hai,

kho chuki hain manzile, tamasha bani hai zindagi,
lahuluhan hai arman saare, biyaaban dil humara hai,

rait par tardapti machli sa har lamha guzara hai,
chain mila ho na jisse aisa baichain sa wazood humara hai,

har ek lamha zindagi ki hai kanto si chubhen liye huye,
intha hai dard ki zindagi ka na koi thaur-thikana hai,

yaad karta hoon main maut ko har pal,
ab iss maut ne hi aaraam dilana hai,

ghum-e-lashkar ki zindagi ek khilona hai,
ghumon ki tapish isme kuch jada hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts