kya khabar thi iss tarah hi jeena hoga umra bhar

kya khabar thi iss tarah hi jeena hoga umra bhar,
dard -e- dil seene mein leker jeena hoga umar bhar,

socha tha kuch roz baad hum bhi muskurayenge
socha na tha aanshuon ko peena hoga 
umar bhar.

maine bhi uff ! na kara aur woh bhi satate rahe,
socha tha ke yeh to unse bhi na hoga 
umar bhar.

soch badli hai kabhi na, soch badlegi kabhi,
aadmi ko apni tarah jeena hoga umra bhar.

har din ke inthan par yeh sochta hoon,
kya inhi halat mein hi jeena hoga umar bhar.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts