lakh manane par bhi nahi thamte ye aanshun,
inhe bin baat behne ki shayad aadat si ho gayi hai,
jaante hain ab kabhi nahi aaogi tum,
par humein bhi raah takne ki shayad aadat si ho gayi hai,
tumhein humse pyar na sahi yeh aur baat hai,
humein to tumse.. bas tumse pyar karne ki shayad aadat si ho gayi hai,
sochta hoon ki kya kabhi tum bhi mujhe yaad karte ho?
apni tanhaiyon mein yeh sochte rehne ki shayad aadat si ho gayi hai.
main khuda se kis tarah maangu ke shayad woh bhi hai kuch bebas,
phirbhi apni duaaon tumhe shumaar karne ki shayad aadat si ho gayi hai,
meri maut se pehle woh ek lamha de do mujhe pyar ka,
issi umeed issi aashre pe jeene ki shayad aadat si ho gayi hai.

No comments:
Post a Comment