koi pyaar nibhane wala na mila

rulane wale to sabhi mile,
aanshoo pochne wala naa mila,

mere dil ko thi jis ki tamanna woh mann chaha na mila,
yoon to duniya girne walon ko uthaane ki baat karti hai,

jab main gira to koi uthaane wala na mila,
kehte hain yeh pyaar ka jahaan hai,
pyaar ki duniya hai..

jab maine pyar kiya to nibhane wala na mila.

mujhe uss pal ka intezaar rahega

shaam dhale tanhai se,
tere khawabo ki parchayi se,
jee bhar ke baatein karte hain,
hum apni tanhai se,

jab tanhai bolne lagti hai,
sab raaz kholne lagti hai,
hum chupke se samjhaate hain,
apne dil ko kuch iss tareh behlate hain,

bas kuch dino ki baat hai yeh,
janmo ka saath hai yeh,
abhi door sahi, majbuur sahi...

magar uss pal ka intezaar rahega,
tu meri dulhan banke aa na saki to kya,
main tera dhardkan banke bas jaaunga,
bas har janam mein iss raaj ko,
sirf tera hi intezaar rahega

wo aise kab the ki dard naa samajhte the

mehfil teri chord ke deewane chal diye,
ashkon se bujhi naa pyas to mahkhane chal diye.

woh aise kab the ki dard naa samajhte the,
yeh bhi ek adda hai jo aap hi rulane chal diye.

kabhi hanthon mein mehndi se mera naam likha karte the,
yeh din bhi aayein hain ki mujhko ki mitane chal diye,

tere aashiq kaa dil hai koi kanch kaa paiymana nahi,
ki toot jaye to duniya ko batane chal diye.

lute hain jo apno se woh shikve kya karenge,
bas shama ko dua de kar parwane chal diye.

jinke gham mein shaad hum ta-umr likhte rahe,
un yaad ke panno ko aaj khud hi jalane chal diye.

my dear friend Partho

sometimes we are lucky enough
to meet a person who stands out
among all the other people
as being extremely special,

who knows what we
are thinking about,

who is happy for us at all times,
who is always there to talk to us,

who cares about us selflessly,
who is always truthful with us,

sometimes we are lucky enough
to meet someone who is
extremely wonderful,


for me that person
is you my dear friend Partho.
Wish you a very Happy Birthday !!!

kuch to yaadein hongi unke pass bhi

bahut hassa tha main,
jinko bhi hassaane ki liye.
wahi chord gaye hain mujhe aaj,
tannhai main aanshoo bahaane ke liye.

woh hasste hain humare saamne,
shayad humein tardpaane ke liye.
par hum to kambakht ro bhi nahi sakte,
zamaane ko gum dikhane ke liye.

khushiyan sab woh le gaye,
aashk hain bas aab mere liye.
par yeh aashk bhi aab nahi dete hain saath,
in aankhon se aashk bahaane ke liye.

barde sambhal kar rakhe the kadam humne,
unke saaye ko bhi bachaane ke liye.
par ab apna hi saaya saath chord gaya,
humein tanhai ka ehsaas dilaane ke liye.

ruke the hum har mord par,
unke intezaar ke liye.
ab chord gaye hain woh ek naye mord par,
zindagi bhar intezaar karwaane ke liye.

bahut khushiyan hain aas-pass,
mujhe khush karne ke liye.
phir bhi koi wajah doondhta hoon,
shaayad main muskuraane ke liye.

kuch yaadein hongi unke pass bhi,
humein yaad karne ke liye.
par woh kabhi humein na yaad kar payenge,
doondhenge kisi bahane ke liye.

kabhi to woh bhi sochenge,
humaare pass waapis aane ke liye.
lekin tab hum honge hi nahi,
unko pachtaane ka mauka dene ke liye.

zinda laash hai aab to yeh zism,
aapna hi bhojh dhone ke liye.
thodi si zamin talaashta hoon,
khud ko dafnaane ke liye.

kya aisa bhi ho sakta hai

khamoshi khud apani sada ho
aisa bhi ho sakta hai,
sannata hi gunj raha ho
aisa bhi ho sakta hai...

mera sathi mujh se bichard kar
kya jaane kis haal mein hai,
meri tarah woh bhi tannha ho
aisa bhi ho sakta hai...

sahara sahara kab tak main dhundhun
ulfat ka ek ek lamha,
lamha lamha ek sahara ho
aisa bhi ho sakta hai...

zindagi-e-tufaan soch rahe hain
saahil dubaa jaata hai,
khud unka dil dub raha ho
aisa bhi ho saktaa hai...

yeh yaad meri tanhai ki nahi

yeh aanshu meri judaai ke nahi
judaai mein bhi teri yaad ke hain,

yeh yaad meri tanhai ki nahi
tanhai mein bhi tere intezaar ke hain,

yeh intezaar meri aankhon ka nahi,
raste pe tiki nazron mein aanshu ke hain,

aur yeh aanshu meri judaai ke nahi
judaai mein bhi teri yaad ke hain. 

ek pyaar ka taj mahal hum milkar bannate

dosti mein darar ho gayi,
bin bole hi takraar ho gayi,
naa gila kiya naa shikwa,
zindagi meri khaar hogai,

kaha tha milan do janamo ka hai,
zehan mein yeh baat ghar kar gayi,
hoga ghar chaand sitaaron mein,
yeh baat zindagi ko araam kar gayi,

jaha koi usul na honge,
sirf hum tum aur pyaar hoga,
sapnon ki ek duniya hogi,
pyaar bhara sansaar hoga,

iss baar tum door naa jate,
ek pyaar ka taj mahal
hum milkar bannate,

jis mein makbara naa hota,
pyaar ke phoolon ka hi nazara hota.

woh shabd kahan se main laaun

jo likhna chahoon kagaz mein,
woh shabd kahan se main laaun,
jo likh daale the bitey pal,
kya aaj unhein main dohraahun.

ab meri nason mein shyahi nahi,
ab main kiske nagme gaaun,
kuch toote-phoote lamhein hain,
kya aaj unhein main 
dohraahun.

main agyaani ab kya karta,
jo dikhta hai wahi likhta jaaun,
katha meri andheron ki hai,
aaj unhein main 
dohraahun.

kaun sukhi hai iss dharti par,
aaj ussi par geet banaaun,
chote-chote shabd bunne the,
aaj phir unhein main 
dohraahun.

dukh ko maine khoob jiya hai,
kiski khusiyon ko batlaaun,
gar iss dharti se gum hatt jaye,
to aaj khusi se soo jaaun.

har lal rang jo behta hai khoon nahi

jise dekhta tha har pal,
jise chahta tha har pal,
kiye khilward dilse kayi,


usne mujhe sataya hai,
jee bhar ke mujhe rulaya hai,


main jaanta hu woh itna bhi masoom nahi,
har lal rangh mein jo behta hai khoon nahi,

jisko aapna maana tha,
apne se jada jaana tha,

ek kardwa sach bata diya,
bas usne mujhe sikha diya,

bewafai par bana aaj bhi koi kanoon nahi,
har lal rang jo behta hai khoon nahi,

jisse dil dhardakta tha,
dil jiske liye tardapta tha,

thi jinko meri aadat kabhi,
kerta tha jinki ibbadat kabhi,

aapni taraf se pagal hoon main
par unko koi joonon nahi,
har lal rang jo behta hai khoon nahi,
khoon nahi...

staring at my reflection

I stare at my reflection
in a broken mirror,
letting myself fall
into a flood of tears,


this strange little boy
staring back at me,
so sad and alone
but how could this be?

I am not the boy I once was,
you changed me
you made me who
you wanted me to be.

no matter how hard I tried
I was just never enough,
the road you lead me on
was just too tough.

when you left me all alone,
I tried to stay strong..
I soon realized I was weak,
but you new that all along,
tears pouring from my eyes,
wondering who I have become.

the pain in me subsides,
because of it,
I have become numb.

the reflection in the mirror
is not what it seems.
because it’s not the mirror that's broken.

the one that’s broken.. is me!!

toofan sine ka main shaant karu kaise

toofan sine ka main shaant karu kaise,
suni suni aankho mein naami laun main kaise,

chahta to tha main bhi ki akela na rahu,
lekin us kaatil ko apni zindagi mein laun kaise,

zehar ban gaya hai aab to uska naam mere liye,
samaj nahi aata usko raaj ki raani banaun kaise,

wakif hoon main dunia ke riti-riwazon se,
sirf uska hoon yeh yakeen dilaun main kaise,

khoon-e-jigar maanga hota to samaj aata,
duniya ki bhid se nikal ke mahlon mein basaun kaise,

garib hona aaj jurm hai saayad dunia ki nazar mein,
tab hi aaj mera pyar ruswa hai us kaatil ki nigah mein,

khud ko ram to us ko main sita banaun kaise,
samaj nahi aata usko raaj ki raani banaun kaise,

sulagte dil ki tardap juba pe laun kaise,
risste huye iss zakhm ka illaz karaun kaise,

khamosh kar ke baithe hain apni juba ko,
us kaatil ko us ke gunaah bataun kaise,

bewafa woh humein kahte rahe sare aam,
chup kyo the hum yeh usse samjhaun kaise,

jala ke rakh diya sab kuch us ke ek sabd ne,
hum bewafa nahi yeh yakeen dilaun kaise,

chirag bujh raha hai zindgi ka dheere dheere,
us chirag ke liye roshni main laun kaise,

aag sine ki aab to ruh ko bhi jalane lagi hai,
bewafa ka daag apne maathe se main hataun kaise,

bewafa ka daag apne maathe se main hataun kaise..?

meri baatein untak pahunchaane ki koshish kijiyega

haar ke khushi manaane ki koshish kijiyega,
paani mein aag lagaane ki koshish kijiyega,

zindaagi nahi rukti kisi ke bhi chale jaane se,
kaarvaan aage bardhaane ki koshish kijiyega,

yaar to aakhir yaar hai, bewafaa hi sahi
unki khushi mein din bitaane ki koshish kijiyega,

aankhon mein ab wo nasha-o-suroor kahaan raha,
sharaab hi se pyaas bujhaane ki koshish kijiyega,

tameez-daar nahi duniya! keh kar chaldiye huzoor,
khud ko bhi tehzeeb sikhane ki koshish kijiyega,

nahi kehte hum ki kaante hi zakhm dete hain,
kabhi phoolon pe haath phiraane ki koshish kijiyega,

husn ki aag ke sholon mein parwaane hi kyun jalte hain,
aisi rasm pe bandh lagaane ki koshish kijiyega,

khuda se kasak ka taalluk jaise toot sa chala hai,
meri baatein untak pahunchaane ki koshish kijiyega.

kafan na mile to apna dupatta urdha dena

dil to tord diya mera ab chitta bhi jalaa dena,
kafan na mile to apna dupatta urdha dena,

koi puche rog kya tha kaise huyi maut meri,
bas nazar jhuka kar apna naam bata dena,

samajhne waalon ke yeh ishaara bahut hoga,
koi na koi in mein tujhe sahara jaroor dega,

sahara agar na mile to tum bas itna hi karna,
thoda si raakh meri apne saath hamesa rakhna.

khushiyon se jeevan adhuri hai

khushiyon se jeevan adhuri hai,
ghumon ke sang zindagi puri hai,

na kar gila judaai ka,
darmiyan chahe kitni bhi doori hai,

hasega zamana haal-e-dil sunn kar
dard chupana bhi to zaruri hai,

aye dil beshak baha bebasi ke aanshun,
par muskurana to apni majburi hai.

saath bitaye woh pal

lekar yaadon ka suhana kafila,
apni manzil ki aur yaaron yeh lo main chala,


yuh to yeh maloom tha magar
bichardenge jab chal denge apni hi dagar,

ehsaas hi na hua kab gehrayi apni yaari,
aaj yaad aa rahi sabhi baatein woh pyari,

woh mazak, woh shaitaniyan, woh lardhayi,
aasan ho gayi yaaron tabhi se yeh lambi chardhayi,

do ghadi tum mil gaye yeh rasta yun kat gaya,
do ghadi tum kya mile kuch bhoj mera bat gaya,

yaad banke paani kabhi in aankhon se bahega,
yaad banke muskan pyari in labon par bhi rahega,

jane kya rang layega woh aanewala kal,
paer kabhi bhula na paunga yaaron,
saath bitaye woh pal.

manzil tak chalne wala koi ek hamsafar nahi

zamana nirdaye itna
sachai ki koi kadar nahi,

matlabi hai kuch log yahan
pyar bhari koi nazar nahi,

mangata hoon sirf thordi si khushi,
yaha sukh ka koi aasar nahi,

hoti hai agar bhool koi muhjse
milti kyon maafi nahi,

armaan bahut hain dil ke magar
manzil tak chalne wala koi ek hamsafar nahi,

pahuch gaye hain ek aise mukam pe
jiski mujhe bhi koi khabar nahi,

badal gaye hain sab ke sab
meri is zindagi ka ab koi mukddar nahi. 

you left me shattered

you came into my world with a bang,
you changed everything,
you made me brand new,
you gave me memories to cherish forever,
you let me feel the rain on my skin,
you climbed into every part of my heart,
you let me know how breathtaking love is,
you gave me happiness and so much joy.

then you left me for another,
you left me with a broken heart,
you left me with tears on my cheek,
you left me with sadness in my eyes,
you left me with a raw soul,
you left me with emptiness,
you left me with vanished love,
you left me shattered.....!!



kabhi hogi juda yeh raahein yeh mujhko kaha pata tha

dard unko hua tha thoda,
ek katra jo kabhi baha tha,
tab dekhe na mere aanshun,
dil aapna bhi kabhi jala tha.

teri ranjish mein mere dilbar,
guzri thi lambi raatein,
kitni tannah thi woh raatein,
yeh chand ko kya pata tha.

thi masroof teri nazar bhi,
kisi aur ki panaah mein,
kabhi hogi juda yeh raahein,
yeh mujhko kaha pata tha.

jaan de di tere raaj ne

do ashq meri yaad mein
bahaa dete to kya jaata,
chaar phool meri laash par
chardha dete to kya jaata…?

aaye ho meri mayyat par
nakaab daal kar sanam,
murdon ko chaand ka tukda
dikha dete to kya jaata…?

poochte hain tumse log
kiska yeh arthi hai,
marne waala kaun tha ?
bataa dete to kya jaata…?

keh rahi hai sab kahani
tere haathon ki mehndi,
kisi aur din ye kissa
sunaa dete to kya jaata…?

mera saans rukta hai,
mera dam nikaalta hai,
meri duaa ko haath tum
utthaa dete to kya jaata…?

jaan de di tere raaj ne
tumhari hi mohabbat mein,
ek chiraag tum samadhi par
jalaa dete to kya jaata…?

afsoos hai mujhe

woh dil ko dukhaane aaye.. afsoos hai mujhe,
khud ko maine zinda paaya.. afsoos hai mujhe,

door ho gaye woh, yeh to koi bardi baat nahi,
dard ban kar dil mein samaye.. afsoos hai mujhe,

mujh pe karam naa ho, yeh munasib hai khuda,
dil taurd ke woh muskuraaye.. afsoos hai mujhe,

ek muddat beeti, chand alfaaz dhoodhne mein,
haal-e-dard phir bhi naa sunaya, afsoos hai mujhe,

gham nahi, kho jaau, yaa koi manzil na haasil ho,
maine raahguzar naa paaya, afsoos hai mujhe.

come and take your prize

bring me peaceful sleep
I promise, I won't weep
tell me where I was wrong,

still I guess to this life
no more do I belong
feelings inside me strife

can't find their dept
I don't have the courage
to find you in camouflage

don't let wait more time
before arrives sunrise

show me your face sublime
come, take your prize
accept my last breath.

kuch tute sapne aur kuch bache armaan hai

iss zamin aur aasmaan ke baad ek jahaan hai,
kuch tute sapne aur kuch bache armaan hai,

hosh zindagi ko nahi aur chain maut ko bhi nahi,
kaisa yeh alam hai, kaise ankhon mein khwaab hai,

kaun hai kiska yahan, ya kaun hain kaisa yahan,
sab ke apne nasib hain, apna apna imaan hai,

rulaaya hansaaya, kaise kaise dil ko behlaaya,
meri khataa kya hai aur kaisa mujhpe ilzaam hai,

maut hi meri azeez hai, yeh lagti mujhe ab apni hai,
zindagi meri kahaan hai, jo mujhse hi anjaan hai.

tum acchayi ke deepak ban jagmagate rehna

har milne wale ki zindagi ko mehkate rehna,
kitna hi dard ho dil mein par muskarate rehna,

zindagi ki raat mein chahe amavas hi aa jaaye,
par tum aasha ke taron ki tarah timtimate rehna,

mushkilein to mehman ban kar aati rahengi,
tum bas un mushkilon mein bhi khilkhilate rehna,

jeevan ki ranbhumi ke har mord par tum bas,
aage bardh kar apni vijay pataka fahrate rehna,

iss paapi kaliyug ke is ghor andhakar mein,
tum acchayi ke deepak ban jagmagate rehna,

yeh raaj kabhi yahan rahe ya na rahe par,
tum usse yaad karne ko humesha aate-jate rehna. 

gar aisa hota to kya hota

tu meri yaad mein tardapti to kya hota,
mere liye tu aanshu bahaati to kya hota?

kabhi koi puchhe tere tuute dil kaa haal,
bewafaa bhi tu mujhe kehti to kya hota?

karti tu kisi ko mohabbat dil-o-jaan se,
aur woh tere dilse khel ker tujhe thukraata to kya hota?

yuh nazrein chura ker woh guzrnaa tera,
mujhse nazrein mila bhi leti to kya hota?

tannha bhi guzar jaayegi aye zindagi meri,
gar tu mujhko mil jaati to kya hota?? 

kabhi to meri yaad aayi hogi?

jab hoti hogi barsaat tab yaad aayi hogi,
jab khilte ho phool tab meri yaad aayi hogi?

samjhte ho subah ki kirane khud ko tum agar,
jab hoti ho shaam, tab meri yaad aayi hogi?

koshish karti ho naa dekhne ki tum mujhe,
jab dekhti ho aayeena, tab meri yaad aayi hogi?

duniya ki bheed mein kho rahi ho tum,
jab hoti ho tanhaa, tab meri yaad aayi hogi?

bit gaye barso jaante ho tum magar
jab lete ho saans, tab meri yaad aayi hogi?



zindagi tune mujhe kaha lakke chord diya

waqt beraham ho to apne bhi nahi milte,
sukhe perdon ko parinde bhi nahi milte,
zindagi tune mujhe kaha lakke chord diya,
jahan sunne ko ab wo latife bhi nahi milte..

ab aankhoon mein wo intezaar raha hi nahi

mere labon pe ab tera naam aata hi nahi,
iss dil kaa to koi armaan bacha hi nahi,

yaad mujhe aate hain woh din bhi bahut,
jinn mein khud ko maine paaya hi nahi,

kyun yeh aanshun bahane laga hoon mein,
jab ki kisi ko to maine rulaaya hi nahi,

bardi achhi bhi lagti thi woh mulaakaatein,
ab aankhoon mein wo intezaar raha hi nahi,

huyi bhi hogi koi khata mujhse magar,
kabhi kisi ne to mujhe bataaya hi nahi.

tere jhuthe sawaalon ka jawaab nahi dena

tere jhuthe sawaalon ka jawaab nahi dena,
rehne de teri wafaaon ka hisaab nahi karna,

khafaa hoon tujhse magar itni hi ilteza hai,
gairon se to milkar mujh pe waar nahi karna,

zidd karta hai dil-e-naadan milne ki tujh ko,
magar aankhon ko tera deedaar nahi karna,

jo tum bhi naa samjhe woh baat samjhaate ho,
ab aaise to waqt kisi ka barbaad nahi karna.

do you understand me?

do you truly understand
what it is to be me?


have you survived the
ups and downs of a life similar to mine?


can you look me in the face
and tell me, if I know who you are?

can you pinpoint everything
that invokes some kind of emotion in me?


do you have any words or phrases
that are the very definition of me?


can you list everything in my life that I hold valuable?

do you know my values?
do you know my goals?
do you know my beliefs?

can you tell me what I want out of life?
can you tell me what I have gone through?
can you tell me what kind of person I want to be?
can you tell me how I feel in any given scenario?

I already know the answer.
you don’t have a clue who I am.


you have never spent a single minute in my place,
haven’t spent a day in my exact position.

yet you talk about me as if
you know the most intimate details of my life.


you have barely scratched the surface of who I am,
yet you act like you have infinite knowledge of me.


you take what little you have seen or heard from me
and you distort it and pass it off as something ‘credible.’

you lie...
you cheat me out of any kind of friendship.

you make a fool out of me and everyone else.

are you proud of the destruction you have caused?

one day, your little game will end,
and since what goes up must come down,
you will find yourself in a similar position.


the high horse you rode so proudly
will buck you off and into the mud.
any kind of respect and recognition you had
will be gone with the wind.

kantoon ke saath guzari humne apni puri zindgani

mere ghum ka fsana mere dil ki kahani,
woh aaj sun lein aake meri zubaani,

hum ne unke ghum ko dil mein chupa ke rakh liya,
keh ghair ki yeh aata nahi hai apnon ki mehrbani,

log pouchte hain ke raaj kya huwa
in anshuon mein haye beh gayi meri jawaani,

kash! zindagi mein ek pathar hi phenk dete,
kyun aaj mere pit-piche kerte hain gulfshani,

tum hi kaho duniya walo,
main phool nahi tu kya hoon,
kantoon ke saath guzari humne apni puri zindgani.

mujhe bhi milega kya mukamal-janha kabhi

main ek smander ki sahil ki rait ka zarra hoon,
har pal ek nayi laher ke sath bhaita hoon,


kabhi unse kahta hoon kabhi unki sunta hoon,
kabhi khamoosh sa rahta hoon,


kabhi unki bandagi karta hoon,
kabhi unki darindagi sehta hoon.

kabhi un par hassta hoon,
kabhi unke sath roota hoon,


kabhi un par jeeta hoon,
kabhi unke sath marta hoon,

main ek smander ke sahil ki rait ka zarra hoon,
har pal ek nayi laher ke sath behta hoon,


le jati hai woh mujh ko door kahi,
phir chord jati hai woh mujh ko yehi,


lamba safar ye kat-ta hi nahi,
koshish karne se kuch hota nahi,

sochta hoon tannhai mein yehi ki
mujhe bhi milega kya mukamal-janha kabhi,


ya bhatakta rahoonga har pal
ek nayi laher ke sath sada yunhi..

my soul mourns at my own grief

drenching in showers of pain
with hopes shattered by the cold winds,

I weep on the banks of a river
maturing sun casts its magic on me,

adamant in chasing away my fears
to bestow me from darkness to light,

sky along side the dark clouds conspire
plucking away the felicity of my soul,

leaving me in solitude with a lot to ponder
hopes have turned in to a nightmare,

as I mistook for a desert to be a mirage
my soul mourns at my own grief..!!

zholi mein kuch hai baki to gazal hai meri

zholi mein kuch hai baki to gazal hai meri,
mera roop, meri pehchaan gazal hai meri,

koi puche kya hai mazhab tera,
shayari hai imaan, dharm gazal hai meri,

kya sukoon ismein oos ki boondon ki tarah,
zindagi ke liye muskaan gazal hai meri,

zaalim zamana zakhm chahe jitne bhi de de mujhe,
dil ke har dard ka marham gazal hai meri,

koi lamha, koi ehsaas, ek naya khayal,
mere zinda rehne ki wajah gazal hai meri,

ishq ke len-den mein raaj barda kamjoor hai,
faida gar hai koi to gazal hai meri,

zholi mein kuch hai baki to gazal hai meri,
mera roop, meri pehchaan gazal hai meri...

yun khamoshi ka zeher piye ja rahe hain

yun khamoshi ka zeher piye ja rahe hain,
mat puch kiski khatir zindagi jiye ja rahe hain,

kisi ne ghumon ka taufa saja ker diya hai,
ussi ki khushi mein chup chaap anshu piye ja rahe hain,

jab chaha hansa diya jab chaha rula diya,
yun kuch hum par ehsaaan kiye ja rahe hain,

unhein hum ne phulon ka bister de diya hai,
apne zakhmon ko hum kaanton se siye ja rahe hain,

to kya jo zamana bereham hua hai
hum to afsaaane mein khud ko jiye ja rahe hain,

apni khatir jeena to duniya walon ka dastur hai,
hum iss duniya ki khatir khud ko mita ker jiye ja rahe hain.

yeh unn dino ki baat thi

yeh unn dino ki baat thi,
kya kahoon woh kaise din the
aur woh kaisi raatein,
yeh unn dino ki baat thi...


woh mere saath thi
main us ke saath tha,

woh us ka kehna,
woh mera sunna,
mere dil ki kwahish,
jaise uske laboon ki baat thi...

woh samander ki lehrein,
woh hawaoon ki thandak,
jaise mere bhi pas thi...

us ke sansoon ki aahat,
mere dil ki dhardkan,
jaise saath saath thi...

chand bhi tehra tha kahi,
chandni bhi humraaz thi,
ab aur karun kya bayan
yeh unn dino ki baat thi...!!

All Time's Favourite Posts