ab nahi rokunga tumhein

ab nahi kahunga tumhein,
pichhe murd kar bhi kabhi dekha karo,

bhale hi hain kardwaa bahut iss sach mein,
par yakeenan isse kabul kar hi lunga,

ek ibaadat ki tarah nahi kahunga ab tumhein,
kyun bhul gaye ho ek saans ek jaan the hum,

tum hi ne mujhe chuna tha apna hamsafar,
aur ab bich raah mein kyun chord chale,

nahi puchunga tumhein par kisi din jab thak jaao,
aur kahi rook jaao raah mein chalte chalte,
yaad jo dhundhli si aa jaaye meri,

bhoole se hi sahi par koi,

biti yaad ka saya sa nazar aa jaaye tumhein,
to aankhein bandh kar lena pal bhar ke liye,
aur mujhe apne paas paaogi.

kaise aa gaya main???
nahi kahunga main kuch,
bas muskura dunga,
aur saari thhakawat door kar dunga,
taki phir se tum jaa sako,
jaha jaana chaho mujhe akele chord...

woh ek pal mein rashta badal jate hain

kuch log aise hote hain,
jo pal bhar mein paraya kar jate hain,

manzil ko dekhte hi,
ek pal mein rashta badal jate hain,

jate jate dil se woh kuch,
iss kadar khel ke jate hain,

jiski aag mein hum umra bhar,
baas jalte hi reh jate hain..

lekin phir bhi tum aajana

ek aas ke sahare jee raha hun,
jaise sadiyon se rashta tak raha hun,
yeh khamosh raahein khushgawar to nahi,
lekin phir bhi tum aajana...

woh rokenge, aane nahi denge,
baat baat pe fikre kasenge,
jaanta hun mushkilein kam to nahi,

lekin phir bhi tum aajana...

main hassta hun, tum hassi ho meri,
kya tum jaanti nahi ho ki jaan ho meri,
in dhardkanon ki awaaz na sun paaogi,

lekin phir bhi tum aajana...

tere bin to jaise har saaye mein udaasi hai,
aaja ke saansein ab chand hi baaki hain,
tere aane ki khushi mein mar na jaun kahi,

lekin phir bhi tum aajana...

what do you mean to me

how should I say what do you mean to me,
what does a pearl mean to a sea,
what earth means to sky,
what flower is to butterfly.

what life means to a man,
who is just about to die.


what desserts feel when it rains,
what a soothing support does when it pains,

tell me how should 
I say what you mean to me,
you are my mind.. my soul.. my heart,

a dream so beautiful,
an experience so wonderful,

a passion that ignites,
a warmth that invites,
sometimes a smile grossly best,
sometimes a tear so honest,


I wish I could gift you the entire world,
but can only give you my heart instead,

tell me how should say what you mean to me,
when words are too less,
for they could never suffice,
the feeling of tender love and caress,

even your simple touch makes me so sure,
that there is someone who loves me so pure,
a thought that makes me miss you even more,

destiny would grab and take you away,
we can only take life as it comes our way.

apna dard duniya se chupa kar rakha hai

dil mein ek armaan bacha kar rakha hai,
unki yaadon ko seene se laga kar rakha hai,


aaye na koi ilzaam unpar isleye,
apna dard duniya se chupa kar rakha hai.

jaate jaate woh keh gayi humse,
tannha jeena seekh lo raj,

humne bhi unka hukum sar aankho par rakha hai,
tanhayion ko apna humsafar bana kar rakha hai.

pyar main unse karta hoon ab bhi,
unki tasveer ko anshuo se saza rakha hai,


kahi aa jaye woh shayad nazar,
apni aankho ko unke intzaar mein laga rakha hai,

aaye na koi ilzaam unpar isleye,
apna dard duniya se chupa kar rakha hai.

na de sake jo zindagi to mout ka mujhe pagam de

meri zindagi ke khawab, kahi to koi raah de,
jis se sukoon ka ho ahsaas, aisa koi khawaab de,

main manzilo ke bich mein, rah gaya hun bhatak ke,
manzile na sahi, kahi to mujhe sahi raah de,

main apni talash mein kahi, khud na gumshuda ho jaaun,
jo chal sake tammam umar, aise ek talash de,

na de sake jo humsafar, iska koi gilla nahi,
de sukoon jo umar bhar, aisa ek yaad de,

mere sabar ka tu aur ab na imtihaan le,
na de sake jo zindagi to mout ka mujhe pagam de.

khud ko yeh main samjhaun kaise

dard itna hai aankhon mein chupaun kaise,
keh kar begana apna tujhe banaun kaise,

mumkin hai ki zindaagi abhi thordi baki hai,
jaane walon ko hath pakard bulaun kaise,

jab bhi dhundi manzil, kho gayi khusiyan,
kismat hi jab ruth ker chali gayi, to usse manau kaise,

kuch saansein thami hai mere ander,
jaate sanson ko apne dhardkan mein rok paaon kaise,

dard aur sukun ke beech jaane ek rekha hai,
uske paar aaj yaha se main jaaun kaise,

muskaan aur anshuon ki jaane ek rekha hai,
aankhon ko yeh sabak samjhaun kaise,

likh gayi na jaane kya kya meri kismat me woh,
khud ko yeh baat main batalaun kaise,

tanha safar mein chord jaate hain sab,
khud aaj mann ko apne shant karun kaise,

jalta hain diya roshani ke liye,
khud ko zindagi ka yeh sabak sikhaun kaise,

aankhein num hain apnon ke liye,
khud ko zindagi ki yeh sachai samjhaon kaise.

aye maut tujko bulana bhi to mujko nahi aata

raakh ke dher se makaan khada nahi hota,
gujar gaya hai jo waqt wapas nahi aata,

sab kuch to apna hi tha ghar, gali, gaon, desh,
par ek dead end ke baad aage rasta nahi aata,

ab bhi log milte hain to pehchaan hi lete hain,
par aankh mein ab apnapan nazar nahi aata,

naakaam sharm se jhuki huyi hai aankhein,
aur haari huyi zindgi ka bojh uthana nahi aata,

saanse chal rahi hain chalne ki hi khatir,
aye maut tujko bulana bhi to mujko nahi aata.

humne akelepan mein tanhai bechi

kabhi aanshu to kabhi khusi bechi,
humne akelepan mein tanhai bechi,

chand saanse hain kharidne ke liye,
roz marti huyi zindagi bechi,

satane lage jab mujhe mere hi saaye,
pareshaan ho ke maine roshani bechi,

ek hum hi the jo khud hi bik gaye,
warna logo ne to zindagi bechi.

mat haar maana tanha safar hai

mat haar.. yeh duniya ek mela hai,
taaron ki raat mein har koi yahan akela hai,

mat haar.. mana tanha safar hai lekin,
asmaan ki chaah mein har dil yahan akela hai,

badalte mausamon ka rukh dekha hai lekin,
sukh dukh ke mausam mein ek tu hi nahi akela hai,

mat haar.. mana waqt ka dosh nahi lekin,
kismat ne hi ajeeb khel yeh khela hai,

mat haar.. mana gum to bahut hai lekin,
ek tu hi nahi jisne gum ko yahan jhela hai,

mana chalti lehron ka rukh rukta nahi lekin,
wohi jeeta jisne toofanon ko yahan jhela hai,

mat haar.. yeh duniya ek mela hai,
taaron ki raat mein har koi yahan akela hain.

door kahi rehte ho dil mein mere baste kyon nahi

door kahi rehte ho kahi,
dil mein mere baste kyun nahi,
dard mein dube rehte ho kahi,
khwabon mein mere baste kyun nahi,

door kahi rehte ho kahi,
char diwaare kehte hain yahi,
chal urdd jaayein dil ke sath kahi,
faasle yeh kam hote hi nahi,

faasle kyon kam hote hi nahi,
door kahi rehte ho kahi,
dil mein mere baste kyon nahi,
chahat dil ki banate hi nahi,

dard mein doobe rehte ho kahi,
dil mein mere baste kyon nahi,

jaan naa paye tujhko hum kabhi,
jaan pate to rok late tujhko hum yahi,

door kahi waqt ke sath chalte ho kahi,
mere sath tum chalte hi nahi,

jo chaloge hamare sath tum agar,
chordenge naa tera sath hum kabhi,

door kahi rehte ho kahi,
dil mein mere baste kyon nahi.

dil ko jo sukun de woh ghazal kahan se laun

dil ko tere sukun de woh ghazal kahan se laun,
bhool ke ghazal apni tere ghazal kaise sajaun,

dil mein utar jayein woh lafz kahan se laun,
bhool ke kuch yaadein tere yaad kaise dil mein basaun,

dil tera chura le woh geet kahan se laun,
chuu le jo suron ki taal woh dhun kaise banaun,

dil ka dard chura le woh tasveer kahan se laun,
kayi tufanon ko ek tasveer mein kaise samaun,

tufanon se tumhein bacha le woh naav kahan se laun,
behte dariya ke rukh ko rok kaise tumhein bulaun,

dilon ko jord de woh taar kahan se laun,
tute rishton ke dhagon ko kaise suljhaun,

dil ko tere sukun de woh ghazal kahan se laun,
dard apna chupa kaise tere dard ko apna banaun,

dil ko tere sukun de woh ghazal kahan se laun,
bhool ke ghazal apni tere ghazal kaise sajaun.

deedar tera hota hai jab khud ko bhula deta hoon

tanhai ko mehfil bana aashkon se saja leta hoon,
tere labon ke dhokhe mein khud ko behla leta hoon,

khata kar baithta hoon yehi madhoshi ke lamhon mein,
jheel si aankhon mein paiymana dil ka duba leta hoon,

khayalon mein phir tera aksh ubhar aaya hai,
deedar tera hota hai jab khud ko bhula deta hoon,

raah-a-gum ke safar mein thak gaya hoon chalte chalte,
doob kar saagar mein chand ghardi ko susta leta hoon,

chup gaya hai chand bhi raat ke andheron mein,
chirag teri yaadon ke mazaar par apni jala leta hoon,

jalte dil ki tapish mein murjha chuke armaan hain,
hasraton ko jala kar gum dhuyein mein urda leta hoon,

kitna door bhaagunga, gum to mera saya hai,
sukha pata hoon jab apni hasti ko mita leta hoon.

ek hum hain jo ek bhool baar baar kerte hi rahe

hum bhi kaisi bhool kerte rahe,
duniya ko chord ker sirf iss dil ki hi sunte rahe,
ek adhoore sapne ko poora samjhte rahe,

jisne apna kar bhi humein paraya hi samjha,
uss bewafa ke liye hum ishq ki haddein paar kerte hi rahe,

hum bhi kaisi bhool kerte rahe,
zakhmon ko chupa ker hum muskurate hi rahe,
dard ko bhula ker hum gaate hi rahe,

jo na apna tha ussi se pyaar kerte hi rahe,
rokna chaha apne aapko phir bhi uske liye marte hi rahe,

subho shaam din raat intezaar karte hi rahe,
chaahat mein uski hum thokarein khaate hi rahe,

apne wajood ko bhula ker,
khuda se unki khushi ke liye duwaaien karte rahe,

woh to humein bhool ker aage chalte gaye,
aur ek hum hain jo ek bhool baar baar kerte hi rahe.

kabhi to pyaase jeewan mein saawan barsega

kabhi to tera saaya mere saaye se millayga,
bahaar mein kabhi yeh phool phir se khilayga,
kabhi to pyaase jeewan mein saawan barsega,
khushi se har patta patta hawa mein lehrega,

kabhi to nazar se nazar takrrayega,
andhron mein phir se roshani chhah jayega,
kabhi to tum hamare sapne mein aaogi,
aanshun ko rok ker muskuraatat chhah jaaeyi,

kabhi to woh aahat phir se sunnai deyga,
iss be-jaan sharir mein jaaan bhar layega,
kabhi to iss baichain ka chain laut aayega,
aur phir dil subho-shaaam,
bus tere geet gungunnayega.

yeh tuta hua dil aaj bhi kerta hai tumse utna hi pyar

jis mord par tumne chorda,
ussi mord par khada  karte hain intezaar,
yeh tuta hua dil aaj bhi kerta hai tumse utnaa hi pyar,

zindagi ke khel mein  nasseb se hum haare,
yeh tuta hua dil aaj bhi kerta hai tumse utna hi pyar,

chahe miiti mein mil jaayein,
humari yeh baat yaad rekhna tum sarkaar,
yeh tuta hua dil aaj bhi kerta hai tumse utna hi pyar,

bhulana jab bhi tumko chaha,
yaadon ki barsaat samane ayi baar baar,
yeh tuta hua dil aaj bhi kerta hai tumse utna hi pyar,

tera saaya bhi kahi na mila,
dhoonda maine hazaar,
yeh tuta hua dil aaj bhi kerta hai tumse utna hi pyar,

phir bhi ummeed hai ke ek din,
tum waapis aaker ker logi ekraar,
aur kahogi humse ki,
aaj bhi tum kerti ho humse utna hi pyar.

teri khushi ke liye do tukda zindagi jee lunga

faasle itne bardha de ki mit na payein kabhi,
dewaarein aisi bana de ki hat na payein kabhi,

apne haathon ki lakeeron se faikk de mujh ko,
raaste par aise chala de ke palat na payein kabhi,

phir apne ghar mein khushiyon ki shamme jala le,
mujh se behtar ho koi aisa humsafar banaa le,

kahi door pinzade mein dafan ker de mujhe,
jeete ji na phir meri yaad kabhi aaye tujhe,

teri aawaaz bhi sunne ko taras jaaun main,
kuch bhi aisa ker ke tujh tak wapas na aaun main,


phir teri aankhein mere khawabon ki mohtaaz na rahe,
phir tere sawaal mere jawaabon ke gunehgaar na rahe,


bas teri khushi ke liye do tukda zindagi jee lunga,
magar yaad rahe ek shabnami raat ko jab ye aankhei
n,
band hone lagengi, zindgi ke chiraag madham  hone lagenge.

aaj woh phir se rulane aayi hai

dard dekar humein woh aaj dawa lagane aayi hai,
hamare bhar chuke zakhamo ko phir se jagane aayi hai,

chord gayi thi jo saath mera woh aaj saath nibhane aayi hai,
bardi mushkil se hassna sekha tha,
aaj woh phir se rulane aayi hai,

bhool gayi thi jo pyar ko aaj woh pyar jatane aayi hai,
karti hai humse ab bhi pyar humein ye batane aayi hai,

jinko hum karte the yaad,
aaj hamari yaad unhein hamare paas kheench layi hai,
humein jeete je woh aaj kabar main dafnane aayi hai,

dikha kar apne jhoothe aanshoo humein phir se pane aayi hai,
aaj woh hum par apna hakk jattane aayi hai,

tardpaya jinhone humein aaj woh saza paane aayi hai,
kar ke dokha humse aaj woh apni bhool par pachtane aayi hai,

humein rulane wali aaj khud rone aayi hai,
aaj woh humse mar chuka apna pyar wapis pane aayi hai,

woh beraham hum par ek naya kaher karne aayi hai,
aaj woh mere pyar mein apni jaan dene aayi hai,

dil ko tord kar chale jane wali aaj laut kar aayi hai,
dekho yaroo hamari bewafa sanam aaj laut kar aayi hai.

yaadoon ne teri aaj phir se rula diya

jab bhi tujhe bhoolna chaha maine,
aankho ne aanshuo ko baha diya,

door jab bhi jana chaha tujhse maine,
aahat o ne phir se tera ahsaas dila diya,

maut ke kareeb jata hoon main jab bhi,
maut door chali jati hai,

pyar kiya tha maine sacha tujh se
tune ye kaisa zakham diya,

kush rehne ki koshis ki thi maine,
yaadoon ne teri aaj phir se rula diya

maa pyar tujhe bahut kerta hoon

main chota sa ek bachha tha,
teri ungali tham ke chalta tha,
tu door nazar se hoti thi,
main aanshu-aashu rota tha.

ek khwaabon ka roshan basta,
tu roz mujhe pehnati thi,
jab darta tha main raaton mein,
tu apne sath sulati thi.

maa tune kitne barsho tak,
iss phool ko sichha haathon se,
jeewan ke gehre bheedon ko,
main samjha teri baaton se.

main tere haath ke takiye par,
ab bhi raat ko sota hoon,
maa main chota sa ek bachha,
tujhse bahut pyaar kerta hoon.



में छोटा सा इक बच्चा था,
तेरी ऊँगली थाम के चलता था,
तू दूर नजर से होती थी,
में आंसू आंसू रोता था |

इक ख्वाबों का रोशन बस्ता,
तू रोज मुझे पहनाती थी,
जब डरता था में रातों में,
तू अपने साथ सुलाती थी |

माँ तुने कितने बरसों तक,
इस फूल को सींचा हाथों से,
जीवन के गहरे भेदों को,
में समझा तेरी बातों से |

मैं तेरे हाथ के तकिए पर,
अब भी रात को सोता हूँ,
माँ में छोटा सा इक बच्चा,
तुझसे बहुत प्यार करता हूँ |

aaj phir gujari ek shaam teri yaad ke saath

hum jeete hain sar-e-aam teri yaad ke saath,
aaj phir gujari ek shaam teri yaad ke saath,

haathon ki lakeeron se nikal ker,

tu na jaane kahaan chali gayi,
reh gaya tera naam teri yaad ke saath,

aaj phir gujari ek shaam teri yaad ke saath,

hum kahi nikal gaye, 
tum kahi chale gaye,
reh gaya dil-e-nadaan teri yaad ke saath,

aaj phir gujari ek shaam teri yaad ke saath,

kuch teri tasveerein, 
kuch mere haathon ki lakeereein,
yeh hain jeene ke samaan teri yaad ke saath,

aaj phir gujari ek shaam teri yaad ke saath,

ek bechaine la-ilaaz, 
aankhon mein ashkon ka sailaab,
mujhe ye sab mile inaam, teri yaad ke saath,

aaj phir gujari ek shaam teri yaad ke saath,

ek jang si jaari rahi, 
umr bhar mere khayaalon mein,
aane wala kal banaam teri yaad ke saath,

aaj phir gujari ek shaam teri yaad ke saath,

na tu hai na teri aas, 
na hasrat na zindagi ki pyaas,
bas jee raha hai gulaam, teri yaad ke saath,

aaj phir gujari ek shaam teri yaad ke saath,

wafaa kerne ka bhi alag hi mazaa hai,
yaad aaye mujhe woh lamhein, teri yaad ke saath,

aaj phir gujari ek shaam teri yaad ke saath

tum mujh ko jagaane mat aana

jab dharti ki kokh mein soo jaun,
tum mujh ko jagaane mat aana,
jab jeevan andhkaar mein dooba ho,
tum diya jalaane mat aana..!

mere din the tujh mein doobe huye,
meri raat thi tujh mein khoyi huyi,
jab khuda se tujhko maanga tha,
meri kismat bhi thi soyi huyi,

teri raah se ab main guzar gaya,
tum mujh ko bulaane mat aana,
jab dharti ki kokh mein soo jaun,
tum mujh ko jagaane mat aana..!

mujhe tujhse koi aas nahi,
mujhe tujhse koi gila nahi,
tujhe apna dil de paata main,
woh waqt mujhe kabhi mila nahi,

ab zakhm bane hain yaar mere,
tum dawa lagaane mat aana,
jab dharti ki kokh mein soo jaun,
tum mujh ko jagaane mat aana...!

jab jeevan andhkaar mein duba ho,
tum diya jalaane mat aana..!!

tune kya khoob duniya banayi hai

wah mere khuda, 
tune kya khoob duniya banayi hai,
kisko kya hassil hai, 

jo bhi mila woh kismat ka khel hai,
jo nahi mila samjho takdeer ka tamasha hai,
yahaan har chiz teri marzi se hoti aayi hai,

tu jab chaahe nachaata hai,

aur jab chaahe mitata bhi hai,
dukh bhi tu hi deta hai, 
sukh bhi tu hi deta hai,

na jaane kyo mere khud tu aisa karta hai…

ek pal mein khushiyaan deta hai,
to dusre pal mein woh hi khushiyaan chin bhi leta hai,

dard dene se tujhko khushi milti hai,
yaa phir kisi ki yaado mein kisi ko,
tardpane se tujhe mazaa aata hai,
maana ke yeh duniyaa tune hi banayi hai,
aur yahaan teri hi marzi chalti aayi hai,


na jaane kyo mere khud tu aisa karta hai…

kehte hai log aye mere khuda,
tere marzi ke bagair ek patta bhi nahi hilta hai,
toh phir iss zamaane mein itni bewfai aur nafrate kyo hai,


duniya mein mohabbat ki den bhi tu hi hai,
jab mohabbat tune banayi hai, 
to phir tune hi bewafai kyo banayi hai,

do anjaan dilo mein chaahat bhi tu hi jagata hai,
to phir kyo dil milne ke baad,
dilo mein dooriya banata hai,

na jaane kyo mere khud tu aisa karta hai…

jab do dilon ko mila ke bhi judaa karna hi hai,
to phir kyo unhein milata hai aye mere khuda?

milna, bichardna yeh tera hi saara khel hai,
agar pyaar mein insaan jaan deta hai,
to phir aye mere khuda,
tu usse zindagi hi kyo deta hai?

ajab hai tera keh, gajab tera tamasha, 

na jaane kyo mere khud tu aisa karta hai…

tu hasste huye insaan ko rulata hai,
aur rote huye insaan ko hassata kyo hai,

aye mere khuda tune ye kya sitam kiya hai,
wah! mere khuda...
tune kya khoob duniya banayi hai.

apne bhawnao ko dekar shabdo ka roop

hum sabhi ke zindagi ka ek sacch...

kisi ke pyaar ne zindagi mein ummeed ka suraj jagaya,
to ussi ki bewafai ne usse duba diya,

kisi ke milan ne aasha ki kirane jagayi,
to ussi ke bichardne ka dukh kaante bikhra diye,

kisi ne apne pyaar mein humein ek pal tha hassaya,
to ussi ne humare vishwas ka mazak urdaya,

kisi ke rukhepan ne humein pal-pal sataya,
to ussi ki humdardi ne dil ko karar diya,

kisi ke gusse ne mann ko ghayal kiya,
to ussi ki mithi baaton ne marham lagaya,

in sabhi bhawnao ko kagaz par utrne ki kisi ne zidd ki,
aur mujh me chupe kavi ko bahar nikalne ko majbur kiya,

to maine apne bhawnao ko dekar shabdo ka roop,
apne dil ke bojh ko iss blog mein halka kiya.

mera dil ab kabi fariyaad nahi karta hai

mera dil ab kabi fariyaad nahi karta hai,
hai magar ye nadan dil,
tujko yaad hamesha karta hai,

raaj bhool jaye tujhko ek pal ke liye bhi,
dil to kya khuda bhi,
ess baat par vishwaas nahi karta hai.

aye kash ki naa ishq humne tujhse kiya hota

aye kash ki naa ishq humne tujhse kiya hota,
dil ke badle haaye yeh dard-e-dil na liya hota,

na dekhein hote kabhi sapne chand ke humne,
na kisi ajnabi ko apna mehmaan kiya hota,

jab chalti hai sard hawa to aksar sochte hain,
teri garam saason ka ehsaas na liya hota,

gila tumse nahi bewafa, shikayat kudh se hai,
aye kash ki dil pe tera naam na likha hota,

na hoti agar ishq ki tamanna sirf tujhse,
to shayad main bhi ek kushnumma zindagi jiya hota..

ayina ban ke jo toota woh dil tha mera

ayina ban ke jo toota, woh dil tha mera,
chutta tere haath se jo... woh haath tha mera,

kismat ko ab kya dun ilzaam main,
jo paaya maine..  shayad wahi naseeb tha mera,

har khushi thi meri sirf tere hi dum se,
murd ke dekh.. baad tere kya haal hua mera,

na pa saka tujhe phir bhi,

har saans pe bhaari khawahish teri,
khuda ke ghar bhi jo khali raha... 

woh daaman tha mera,

duniya wahi hai, 

duniya wale bhi wahi hain,
koi kya janne kya kuch khoya tha mera,

koi sareek-e-ghum na hua, yahan aaj tak mera,
jiska sab kuch luta... woh ghar tha mera.

aapki bahut yaad aati hai maa

kaash tumko jaa kar bata pau
ki mujhe tum bahut yaad aati ho maa.

kabhi keh du bhukh nahi,
to haathon se khilati hai maa.

kabhi keh du sar dard ho raha hai,
to godh mein sar rakhkar sehlaati hai maa.

zidd bhale hi jaayaz na ho,
par har zidd pura kar jati hai maa.

jo ruth kar aakhon mein aansu le aau,
to mujhse pehle moti barsaati hai maa.

jo zara bhi kabhi beemar ho jau,
saari saari raat sirhane baithkar beetati hai maa.

jo kabhi bhi akelapan khane ko aata,
chupchap hi sahi apne paas bithati hai maa.

kabhi jana hi nahi jeevan ka dukh kya hai,
har dukh ko aanchal mein chupati hai maa.

aaj maa se itni doorr aa gaya hun,
ki maa ko dil ki aawaz chu nahi paata.

aur maa ko rulana nahi chahta,

isiliye keh bhi nahi sakta,
ki aapki bahut yaad aati hai maa

tumhein bhoolane ki koshish mein kahi main mar na jaoon

tum jaa to rahi ho par itna to bata do,
iss dil se kya kahun isse kaise samjhaun?

iske tootne ki aawaz to na aayegi tumhein,
par uske tukdon ko le kar main kahan jaoon?

tum jaa to rahi ho par itna to bata do,
un yaadon ka main kya karun??

tumhare likhe khatton ko main kahan jalaun?

kahan daffnau?
kisse baar baar sataoon,
kisse manaoon?

tum jaa to rahi ho par itna to bata do,
meri siskiyon mein bhi tumhara hi naam hai,
in ashkon ko main kahan chupaun??

tum shumaar ho abhi tak pardanasheeno mein,
log jab puchenge to bolo main kya bataun?

tum jaa to rahi ho par itna to bata do,
tumhein bhulaane ki kaunse tarkeeb apnaoon??

meri dhadkan, har saans ki rawangi ho tum,
tumhein bhoolane ki koshish mein kahi main mar na jaoon??

meri maut se pehle woh ek lamha de do mujhe pyar ka

lakh manane par bhi nahi thamte ye aanshoon,
inhein bin baat behne ki shayad aadat si ho gayi hai,

jaante hain ab kabhi nahi aaoge tum,
par humein bhi raah takne ki shayad aadat si ho gayi hai,

tumhein humse pyar na sahi ye aur baat hai,
humein to tumse bas tumse pyar karne ki shayad aadat si ho gayi hai,

sochta hun ki kya kabhi tum bhi mujhe yaad karti ho?
apni tanhaiyon me ye sochte rehne ki shayad aadat si ho gayi hai,

main khuda se kis tarah maangu ke shayad woh bhi hai kuch bebas,
par phir bhi apni duaaon me tumhein shumaar karne ki shayad aadat si ho gayi hai,

meri maut se pehle woh ek lamha de do mujhe pyar ka,
issi umeed, issi aasre pe jeene ki shayad aadat si ho gayi hai.

bedard hi sahi woh meri humraaz to hai

usko mera halka sa ehsaas to hai,
bedard hi sahi woh meri humraaz to hai,

woh aaye na aaye mere paas lekin,
shiddat se mujhe uska intezaar to hai,

abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi,
mere dil mein usse milan ki aas to hai,

pyaar ki gawahi mere aashoon se na maang,
barasti nahi aankhein magar dil uddas to hai.

a bond that cannot be broken

Love is a force that cannot be denied, 
A feeling that cannot be disguised. 
It takes hold of your heart and soul, 
And makes you feel completely whole.

Love is the light that guides your way, 
A source of hope that never fades. 
It fills your life with joy and peace,
And makes your worries all decrease.

Love is a bond that cannot be broken, 
A connection that remains unspoken. 
It brings two hearts together as one, 
And makes the world a brighter one.

Love is the music of the soul, 
A melody that makes us whole.
It sings of passion, tenderness, and care,
 And gives us wings to soar in the air.

Love is the greatest gift of all, 
A treasure that we should cherish and recall. 
It brings us closer to the divine, 
And makes our lives more rich and fine.

So let us love with all our might,
 And let our hearts shine bright. 
For love is the key to all we seek,
 And the beauty that makes life complete.

when I’ll meet her again

when I’ll meet her again,
when everything else would become inane,


I am sure the day will come,
just we both, 
in a moment of unending term.

I still have the softness of her lips on mine,
when unwillingly she bid me goodbye.

I still remember how she controlled her tears,
how she must have done this over the years.

each night I dream she is back in my arms,
lost in my love, protected from harms.

she called me her prince, her baby and her heart,
we pledged love together and we’ll never part.

I know my love wont fade away over the years,
I wonder what would I do,
I think I’ll greet her with silence and tears.

tears to love, 
tears of longing all true.

I know she is not a sadist, 
she is not a cheat,
within her deep eyes I can see,

she is so sure again we shall meet,
if not on this earth,
if not in this birth,
then on a land where just we two
have nothing to say in words,
but senses express everything all through.

honestly we have nothing to grieve,
just because we know world does,
but God does not deceive.

for when I’ll meet her again,
everything else would become inane,
I am sure this day will come,
just we both, 
in a moment of unending term..!!

you forgive me and I forgive you

You forgive me for liking you too much,
and I’ll forgive you for not liking me enough.

You forgive me for missing you so much,
and I’ll forgive you for being so cold.

You forgive me for the loud racing of my heart,
and 
I’ll forgive you for not hearing it.

You forgive me for playing your games,
and 
I’ll forgive you for toying with my emotions.

You forgive me for finding you so attractive,
and 
I’ll  forgive you for not noticing.

You forgive me for raising you up so high,
and 
I’ll forgive you for bringing me down so low.

You forgive me for wanting to be with you,
and 
I’ll  forgive you for avoiding me.

You forgive me for being so pathetic,
and 
I’ll forgive you for taking advantage of it.

You forgive me for not being able to let go,
and 
I’ll  forgive you for never having latched on.

You forgive me for having hopes and dreams,
and 
I’ll forgive you for crushing them.

ek toofan ko humne rok to liya hai apne andar

ek toofan ko humne rok to liya hai apne andar,
tham to gaya hai par uske aankhon se barasna abhi baaki hai,

khud ko bhula chuka hun teri yaad mein,
ek aas hai ke mera tujhe yaad aana abhi baaki hai,

yun to bichhrde humein jamaane huye,
par shayad tere paas mera koi samaan abhi baaki hai,

saykadon raaten tere yaad mein jaag ke bitayein hain,
meri jaagti aankhon ke khwaabon ka tootna abhi baaki hai,

kya baat hai tujhme jo mere khayaalon se tum jaate nahi,
us ishq mein tere likhe khaton ko jalana abhi baaki hai,

tere intezaar mein sadiyan beeti hain,
maut bhi na aayegi kyunki tera aana abhi baaki hai.

All Time's Favourite Posts