tumhein bhoolane ki koshish mein kahi main mar na jaoon

tum jaa to rahi ho par itna to bata do,
iss dil se kya kahun isse kaise samjhaun?

iske tootne ki aawaz to na aayegi tumhein,
par uske tukdon ko le kar main kahan jaoon?

tum jaa to rahi ho par itna to bata do,
un yaadon ka main kya karun??

tumhare likhe khatton ko main kahan jalaun?

kahan daffnau?
kisse baar baar sataoon,
kisse manaoon?

tum jaa to rahi ho par itna to bata do,
meri siskiyon mein bhi tumhara hi naam hai,
in ashkon ko main kahan chupaun??

tum shumaar ho abhi tak pardanasheeno mein,
log jab puchenge to bolo main kya bataun?

tum jaa to rahi ho par itna to bata do,
tumhein bhulaane ki kaunse tarkeeb apnaoon??

meri dhadkan, har saans ki rawangi ho tum,
tumhein bhoolane ki koshish mein kahi main mar na jaoon??

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts