aapki bahut yaad aati hai maa

kaash tumko jaa kar bata pau
ki mujhe tum bahut yaad aati ho maa.

kabhi keh du bhukh nahi,
to haathon se khilati hai maa.

kabhi keh du sar dard ho raha hai,
to godh mein sar rakhkar sehlaati hai maa.

zidd bhale hi jaayaz na ho,
par har zidd pura kar jati hai maa.

jo ruth kar aakhon mein aansu le aau,
to mujhse pehle moti barsaati hai maa.

jo zara bhi kabhi beemar ho jau,
saari saari raat sirhane baithkar beetati hai maa.

jo kabhi bhi akelapan khane ko aata,
chupchap hi sahi apne paas bithati hai maa.

kabhi jana hi nahi jeevan ka dukh kya hai,
har dukh ko aanchal mein chupati hai maa.

aaj maa se itni doorr aa gaya hun,
ki maa ko dil ki aawaz chu nahi paata.

aur maa ko rulana nahi chahta,

isiliye keh bhi nahi sakta,
ki aapki bahut yaad aati hai maa

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts