deedar tera hota hai jab khud ko bhula deta hoon

tanhai ko mehfil bana aashkon se saja leta hoon,
tere labon ke dhokhe mein khud ko behla leta hoon,

khata kar baithta hoon yehi madhoshi ke lamhon mein,
jheel si aankhon mein paiymana dil ka duba leta hoon,

khayalon mein phir tera aksh ubhar aaya hai,
deedar tera hota hai jab khud ko bhula deta hoon,

raah-a-gum ke safar mein thak gaya hoon chalte chalte,
doob kar saagar mein chand ghardi ko susta leta hoon,

chup gaya hai chand bhi raat ke andheron mein,
chirag teri yaadon ke mazaar par apni jala leta hoon,

jalte dil ki tapish mein murjha chuke armaan hain,
hasraton ko jala kar gum dhuyein mein urda leta hoon,

kitna door bhaagunga, gum to mera saya hai,
sukha pata hoon jab apni hasti ko mita leta hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts