tum mujh ko jagaane mat aana

jab dharti ki kokh mein soo jaun,
tum mujh ko jagaane mat aana,
jab jeevan andhkaar mein dooba ho,
tum diya jalaane mat aana..!

mere din the tujh mein doobe huye,
meri raat thi tujh mein khoyi huyi,
jab khuda se tujhko maanga tha,
meri kismat bhi thi soyi huyi,

teri raah se ab main guzar gaya,
tum mujh ko bulaane mat aana,
jab dharti ki kokh mein soo jaun,
tum mujh ko jagaane mat aana..!

mujhe tujhse koi aas nahi,
mujhe tujhse koi gila nahi,
tujhe apna dil de paata main,
woh waqt mujhe kabhi mila nahi,

ab zakhm bane hain yaar mere,
tum dawa lagaane mat aana,
jab dharti ki kokh mein soo jaun,
tum mujh ko jagaane mat aana...!

jab jeevan andhkaar mein duba ho,
tum diya jalaane mat aana..!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts