iss zindagi ka kissa bhi kuch ajeeb bana

dost bana na koi hamsafar bana,
iss zindagi ka kissa bhi kuch ajeeb bana,
kayi yaadein bani, kayi haadse huye,
kabhi fizaaye chayi to kabhi gulshan khila.

koi door gaya to koi bahut kareeb mila,
kabhi apna sa laga to kabhi begana mila,
waqt se karta raha main hardum dua,
phir bhi us khuda se humein kuch na mila.

ab to khamoshi hi saathi hai meri,
ab nahi muhje kisi se koi gilla,
mohabbatein to akser huyi aur ishq bhi khub chala,
phir bhi iss kambakht dil ke arman jaisa koi na mila.

mausam badlte rahein, baharein aati rahein,
phir bhi mere baagwan mein koi phool na khila,
ab to fizaaon ka shukar guzar hoon main,
jis ke aane se humein mausam ka patta chala.

apno ne ki koshishe hazaaroon,
magar phir bhi unka pyaar humein na mila,
waqt ki meharbaani se jo mili thi mohabbat humein,
uska karvaan to bas char din hi chala.

dost bana na koi humsafar bana,
iss zindagi ka kissa bhi kuch ajeeb bana,
kayi yaadein bani, kayi haadese huye,
kabhi fizaaye chayi to kabhi gulshan khila.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts