inn sard andheri raaton mein

inn sard andheri raaton mein,
sab sadkein jab sunsaan si hon,
sab apne ghar ko laut chuke,
kuch jaag rahe kuch so chuke,
kuch naram khwaabon mein kho chuke,

woh tannha apni soch mein gum,
un sadkon pe yun phirta hai,
kuch khoj mein shayad rehta hai,

woh neend se koshoon door tak,
bas chalta hai or chalta hai,

jab thakta hai or girta hai,
tab yaad ke saare puraane zakham,
sapno ki soorat aate hain,
do aankhon ko dhundlate hain,

inn sard andheri raaton mein,
tab yaad bahut woh aate hain,
tab yaad bahut woh aate hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts