hum uss waqt ka intezaar karenge

dil, jaan, aur jigar nisaar karenge,
pyaar kiya hai aur pyaar karenge,

kabhi na kabhi to mil jaoge tum,
hum uss waqt ka intezaar karenge,

chutega na saath kabhi tera-mera,
kayamat tak hum aitbaar karenge,

karegi salaam har pal dhadkan meri,
hum iss dil ko tera darbaar karenge,

tere naam ke saath jurde mera naam,
hum khud ko iss kabil taiyaar karenge,

wo din bhi aaye kabhi zindagi mein,
har saans par tera deedaar karenge,

sambhal na paaoge tum apne dil ko,
itni mohabbat hum aye yaar karenge,

tujh ko bana le jo mera umar bhar,
har hunar wo hum iktiyaar karenge,

mil jaaye ab humare ishq ko makaam,
khuda se ye dua baar-baar karenge.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts