hum kitne pagal ladke the

woh kitni achi ladki thi,
hum jisse mohabbat karte the,

kuch bholi si, kuch chanchal si,
hum jisse mohabbat karte the.

woh bolti thi, hum sunnte the,
hum sunnte the, aur hasste the,
woh kitni achi larki thi,
hum jisse mohabbat karte the.

hum unko sataya karte the,
woh humse khafa ho jati thi,
hum unko manaya karte the,
kuch nagamein sunaya karte the,
kuch raaz bataya karte the,
woh kitni achi larki thi.

jab door kahi hum jaate the,
woh aankhein nam kar leti thi,
maathe pe shikan le aati thi,
honton se bhale kuch na bole,
aankhon se sab keh jaati thi.


woh deep jalaya karti thi,
dawaze ki chaukhat pe,
woh sapne dekha karti thi,
roshan din ke ujaalon mein,
woh raat ko roya karti thi.

woh khat jab mujhko likhti thi,
sab acha hai yeh kehti thi,
woh dil ka haal na kehti thi,
chup rehti thi sab sehti thi,
aur khat ke aakhir mein aksar,
ek dil ko banaya karti thi.

hum khat ko poora pardhte the,
phir pardhte the, aur pardhte the,
har ek laffz ko chute the,
har ek ehsaas ko jeete the,
aur khat ke kone ko apne,
honton se lagaya karte the,
aankhon pe tikaya karte the,
maathe pe sajaya karte the,
seene se lagaya karte the.

ek roz achanak aisa hua,
haath churda ker woh mujhse,
rashte badal woh chali aur chalti gayi,
koi khabar na pata humein maloom chala,
jaane kidhar woh gum ho gayi.

jab hum untak pahunche to maloom hua,
jo aankhein nam kar leti thi,
jo chanchal thi, jo saada thi,
jo humse rutha karti thi,
jo dheeme dheeme lehjay se,
dil mein ek aag lagaya kerti thi,
jo deep jalaya karti thi,
jo aas lagaya karti thi,
jo khat ke kone pe aksar,
ek dil ko banaya karti thi,

woh ladki mujhko chord chali,
un saare sunahare yaadon ko,
ek pal mein mita kar chali gayi,
hum kitne pagal ladke the,
hum unse mohabbat karte the,
hum kitne pagal ladke the,
jo unse mohabbat karte the..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts