ek roti ka khawaab sajaaye

khuda ki iss duniya mein,
koi insaan kyu bhukha rehta hai,
ek roti ka khawaab sajaaye,
kyu wo sadak per sota hai,

na hai koi aashiya uska,
na rehne ka koi thikaana hai,
chhat hai us par ambar ka,
aur sadak hi uska bichhona hai,

odhkar woh chand ki chandni,
issi umeed se sota hai,
ek roti ka khawaab sajaaye,
kyu wo sadak par sota hai,

jab kisi gareeb ka bachha,
bhookh ke liye rota hai,
sarddi ki thandi raato mein,
khud mein hi simat kar sota hai,

rote bilakhte bachhe ko,
thand mein sikudte bachhe ko,
uski maa apne kaleje se laga leti hai,
kal dhoodh pilaane ka bahana kar ke,
usko ek aur naya khwaab dikhati hai,

kal usse kuch mile na mile,
bas woh usse ek jhuti aas dilati hai,
yeh sab dekhkar mera dil pal pal rota hai,

ek roti ka khawaab sajaaye,
kyu woh sadak par sota hai,
khuda ki iss duniya mein,
koi inssan kyu bukha rehta hai,

ek roti ka khawaab sajaaye,
kyu woh sadak par sota hai..??

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts