woh to ban chuki hain dulhan ab kisi aur ki

maut si ban chuki zindagi ka ab kya karoon,
jo unse milli bewafai to us bewaafai ka kya karoon,

woh to ban chuki hain dulhan ab kisi aur ki,
main ab iss zindagi ko jee ker kya karoon,

woh to chand lamho ka tha ehsaas jo mila pyaar unka,
ab us ehsaas ko apne dil mein zinda rakh ker kiya karoon,

koi to ek shaks mil jata jis mein tordi si wafaa hoti,
ab iss be bewafa  zamaane mein tanha jee ker kiya karoon.


khuli hain aankhein aur woh kafaan pehna ker chal diye

mujh se daman churda ker chal diye,
gum se muhjko mukammal ker chal diye,

dhokhe to kayi baar khaye hain maine,
magar apni bewafai se ghayal kar chal diye,

kehti thi jo khud ko sahara meri zindagi,
aaj woh haathoon se mera haath churda ker chal diye,

na jane kis gunah ki mili hai sazza muhj ko,
ki khuli hain aankhein meri aur,
woh kafaan pehna ker chal diye


iss zindagi ka kissa bhi kuch ajeeb bana

dost bana na koi hamsafar bana,
iss zindagi ka kissa bhi kuch ajeeb bana,
kayi yaadein bani, kayi haadse huye,
kabhi fizaaye chayi to kabhi gulshan khila.

koi door gaya to koi bahut kareeb mila,
kabhi apna sa laga to kabhi begana mila,
waqt se karta raha main hardum dua,
phir bhi us khuda se humein kuch na mila.

ab to khamoshi hi saathi hai meri,
ab nahi muhje kisi se koi gilla,
mohabbatein to akser huyi aur ishq bhi khub chala,
phir bhi iss kambakht dil ke arman jaisa koi na mila.

mausam badlte rahein, baharein aati rahein,
phir bhi mere baagwan mein koi phool na khila,
ab to fizaaon ka shukar guzar hoon main,
jis ke aane se humein mausam ka patta chala.

apno ne ki koshishe hazaaroon,
magar phir bhi unka pyaar humein na mila,
waqt ki meharbaani se jo mili thi mohabbat humein,
uska karvaan to bas char din hi chala.

dost bana na koi humsafar bana,
iss zindagi ka kissa bhi kuch ajeeb bana,
kayi yaadein bani, kayi haadese huye,
kabhi fizaaye chayi to kabhi gulshan khila.

kabhi kabhi tumhein mehsoos kar hi jaate hain

sisakte hain kabhi, seham se jaate hain,
khamosh khud hi mein, simat se jaate hain,
darre huye se swaas, tardpa se jaate hain,

bekhyaal tumhari yaad mein jab hum kho jaate,
kabhi kabhi tumhein mehsoos kar hi jaate hain.

banjar se iss tann pe yaadon ki chadar lipte,
mayoos palko se aanshu beh jaate hain,
saawan mein baras jaane k baad,
jaise badal zameen par bikhar jaate hain,
yeh jism aur jaan yun tanhayi mein kachoot jaate hain,
bekhyaal tumhari yaad mein jab hum kho jaate,
kabhi kabhi tumhein mehsoos kar hi jaate hain.

bin tere khud ko barda tannha paate hain,
muskurate labbo ke kisse reh jaate hain,
pehle the tum... ab dard aate hain,
jab kabhi apne hi saaye se rooth jaate hain,

bekhyaal tumhari yaad mein jab hum kho jaate,
kabhi kabhi tumhein mehsoos kar hi jaate hain.

hazaaro swaalo mein ghir jaate hain,
tannha tanhayio se bhar jaate hain,
akele se khud pe hi..
jahan bhar ki duhayiaan barsaate hain,

bekhyaal tumhari yaad mein jab hum kho jaate,
kabhi kabhi tumhein mehsoos kar hi jaate hain.

khud se lard kar...

phir utt chale aate hain,
kuch pal tannhayio se,

veeran jahan mein aa jaate hain,
phir labbo pe hassi ko bulaate hain,
hum bhi shor mein gum ho jaate hain.


magar dil mein barda pachtaate hain,

bekhyaal tumhari yaad mein jab hum kho jaate,
ha kabhi kabhi tumhein cheater monika,

mehsoos kar hi jaate hain..!

aye dard tujhe mujhse itna pyaar kyu hai

aye dard tu mera saath nibhati kyu hai,
hoon dost nahi phir aise yarana kyu hai?

thukraya duniya ne mujhe, diya toffe mein tujhe,
kabula maine nahi phir bhi tu saath nibhati kyu hai?

bhatakne de muhje, kho jaane de is andhere mein,
ban ke humsafar tu mujhe rasta dikhati kyu hai?

ghayal hai jism phir bhi kuch zakhm hai baaki,
mile jo woh mujhe to tu bachati kyu hai?

main janta hoon,
meri manzil ki rah mein hain kaante bahut,
par tu unhein chunn ke hatati kyu hai?

manzil hai door abhi aur thakne de mujhe,
tu mujhe itne pyaar se sulati kyu hai?

magar aye dard tu hi hai zaalim bahut,
jo chahooon hamesha ke liye sona,
to tu mujhe uss neend ke aagosh se jagati kyu hai?


main ta umra tanhaiyon mein jee loonga

tujhe kahin meri maut se ghum na ho,
main ghut ghut ke ye zindagi jee loonga.

dard ki dawa ho tere liye yehi chahat hai meri,
main zindagi ka ye zeher bhi pee loonga.

tujhe meri mehfilon se nafrat hai na,
main ta umra tanhaiyon mein jee loonga.

tu darti hai, meri hi jeet har baar ho zaroori nahi,
main tujhe apni haar ka mubarak tohffa doonga.

mera pyaar ka saagar tere liye to khaali raha,
chal main teri nafrat ki aag mein jal loonga.

tu sochti hai khushi ki subah ho tere liye,
main hamesha gumon ki andheron mein reh loonga.

bas tum ek baar aawaz dekar dekho

aaiyana hoon mein,
mere saamne aakar dekho,
khud nazar aaounga main,
ek baar aankh mila kar dekho.

mere gham mein,
meri takdeer nazar aati hai,
dagmaga jaoge jo,
ek baar mere gham utha kar dekho.

yun to aasan nazar aata hai safar,
kitna mushkil hai meri rah chal kar dekho.

bhasm ka mera chirag hai nazar ka dhoka,
kaise andheroun me bhatakta hoon mein aakar dekho.

yeh dil yeh tumhara hai,
jaan bhi de dounga tum par,
bas mera sath dilse nibha kar dekho.

maut kareeb hai magar,
yeh tumse wada hai mera,
lout aaounga main,
bas tum ek baar aawaz dekar dekho….

kuch aur barda apna pariwar bana le

andheron se jang ka vichar bana le,
ashkon ko apna hathiyar bana le,

hum pahunch hi jayenge sooraj ke gaov tak,
roshni ko hum agar adhaar bana le,

apne hi ghar se koyi na humko nikal de,
apne watan pe apna adhikar bana le,

aadmi ko aadmi se jord sake jo,
ek pool nadhi ke aar-paar bana le,

aao kisanon aur majdhuron se kahe,
yeh bhi apna teek se ghar-dwaar bana le,

parwaton ko cheerkar aage nikal sake,
zindagi ko itni dhardar bana le,

pyar ke dhaage se jord le sabko,
kuch aur barda apna pariwar bana le.

jinse dil na mile apna unse pehchan nahi karte

hum kabhi kisi ko bhool ke bhi,
cheena muskan nahi karte,
hum sakht tabiyat hain lekin,
bin baat tufan nahi karte.

hum andhkaar mein reh sakte,
uski thokar bhi seh sakte,
par kisi ke dhar pe jaa ker,
hum manga daan nahi karte.

jo pyar se koi vish bhi de,
hum haste-haste pee jate,
par daya-daan main mila hua,
hum amrit paan nahi karte.

auron ki bath nahi kehte,
hum apni baat batate hain,
apna apmaan nahi sehte,
apmaan auron ka bhi nahi karte.

raaj ka dil jahan mil jaye,
pehchan ussi se kar lete,
jinse dil na mile apna,
unse pehchan nahi karte.


bas viraan hokar raj ki duniya reh gayi

dhoop dhal gayi aur jhulsi kaaya reh gayi,
door jab se tum huye, 
saat perchayiyan reh gayi,

khali daraakhon par maut ke nishaan saaf dekh lo,
phool-patte jhad gaye, khali daliyan reh gayi,

zindagi main milke tumse aakhir humein kya mila,
hamara wajood tha alag, ab ruswayiyan reh gayi,

ek tufan-sa uta, pal mein chala bhi gaya,
ab ye manzar ki bas dhool ki aandhiyan reh gayi,

jaane kaisi aag hai ye dil ki bhujti hi nahi,
raakh hokar bhi isme chingariyan reh gayi,

khile chaman ko jaane kiski lagi hai nazar,
bas viraan hokar raj ki duniya reh gayi.

saans aati nahi aur jaan jaati nahi

khawabon ko koi baat behlaati nahi,
raat bhar ab humein neend aati nahi,

bas gaye ho in aankhon mein aaise,
tasweer koi aur hum ko bhaati nahi,

ek aag hai lagi rooh aur jism mein,
baarish bhi yeh agan bhujaati nahi,

kis anjaan raah par chord gaye ho,
paa ke bhi khud ko main paati nahi,

aa ja aye meri mohabbat ki manzil,
tannha zindagani ab muskurati nahi,

jee rahe hai tere bin kuch is tarah,
saans aati nahi aur jaan jaati nahi.

Someone to be true to us

God knew that everyone needs
companionship and cheer.
He knew that people need someone
whose thoughts are always near.

He knew they need someone kind
to lend a helping hand.
Someone to gladly take the time
to care and understand.

God knew that we all need someone
to share each happy day,
To be a source of courage
when troubles come our way.

Someone to be true to us,
whether near or far apart.
Someone whose love we will always
hold and treasure in our hearts.

mitra bhi shatru ka guptchar hai yahan

pyar jalta hua ek ghar hai yahan,
zindagi yaatna ka safar hai yahan,
hum andhere mein kab se ghire lard rahein,
aap kehte hain din-dopehar hai yahan,

khandaron mein kisse ab pukare, kaho?
har taraf ek murda nagar hai yahan,

aadmi ki jagah saap-hi-saap hain,
das na le ye baharon ko darr hai yahan,

ab kisi per bhi humko barosa nahi,
mitra bhi shatru ka guptchar hai yahan..

bas itna bata de monika aaj imaan se

mujhe kya waasta tere naam se,
ab matlab mujhe sirf apne kaam se,
tere pyaar mein wajood bhi kho gaya mera,
ab fayeda kya kisi pehchaan se.

jalta hoon main bujhte deepak ki tarah,
lardta hoon jalne k liye main tufaan se,
woh tera hi pyaar tha jisne dard tha diya,
ab mujhe nafrat hai har paigaam se.

zindagi mein tune mujhe sukoon lene na diya,
haan tu jalti thi mere har mukaam se,
tu to bewafa ho ke bhi naam pati gayi,
ab to hum hi bache in galiyon mein badnaam se.

dhoka dekar bhi tu rishte bana leti hai sabse,
hum to reh gaye in rishton ki bheed mein gumnaam se,


main to toot ke bhi kisi se jhoot nahi bolta,
tu to beimaani bhi karti hai bardi shaan se,

logon se khelna mehej shauk hai ya fitrat teri,
bas itna hi bata de monika aaj imaan se.

dil ko kya samjhaein isko yaad teri aayi hai

ek ajab si tees hai, kuch gam hai, yeh tanhaai hai,
kya karun jo aankh meri yun hi bus bhar aayi hai,
waqt to lagta hai, mujhko hai pata har cheez mein,
dil ko kya samjhaein isko yaad teri aayi hai.

yun laga ke paa ke tumko khud ko mene kho diya,
dhoondta hoon koi baki ho mera namo nisha,
dil ki rahon mein yuhi, khone mein hai har pal sukun,
paa ke khud ko kya karunga tujhko jo gar kho diya.


tujhko unpar reham kyu naa aata hai

sard raato mein jab koi,
khud mein hi simta sa jaata hai,
fatte purane kapdo mein jab,
uska tan naa dhapa jaata hai,

kanp kapata jab wo apne dil ko,
jhuti dilashe dekar behalata hai,
ye sab dekhkar bhi aye khuda,
tujh ko un par reham kyu naa aata hai?

tere saaye mein rehte hain woh,
phir bhi unse tu bekhbar hai kyu,

apni khushiyo ki talash mein hai,
wo unse ab tak door hain kyu,

unki aankhon mein jo sapne hain,
wo har din kyu dhoondhla hota jaata hai,

ye sab dekhkar bhi aye khuda,
tujh ko un par reham kyu naa aata hai.

woh aayein naa aayein

chalo aaj hum dono muskuraayein,
tum humein bhool jaao,
hum tumhein bhool jaayein,

naa tum ashk bahaao,
naa hum ashk bahaayein,
yeh zahar hum piyein naa ki pilaayein,

shor-o-gul ki iss duniya mein,
khaamosh reh kar bhi khayaal naa aayein,

intihaa pyaar ki mujh mein dekho tum,
sukhe labon ki pyaas,
mere ashk hi bujhaayein,

udaas rehne ki aadat,
naa ghazalon mein kahi,
maasoom dilon se kyon haasi churaayein,

kyonki woh khush hain bhool ker humein,
chalo yaad aayein, chalo yaad aayein,

aayina hoon apne hi maazi ka main,
gunaah-o-sazaayein sab meri aankhein bataayein,

royenge dil-e-dard, tootenge dil-e-sabra,
unn pe kya asar , woh aayein naa aayein..

ishq har dard ko sehna sikha deta hai

yaadon mein tum, khwabon mein tum,
aankhon mein tum, dil mein tum,
yaad karein bhi to kaise karein yaar tujhko,
jise bhula na paayein, wahi shaks ho tum.

jee raha hoon magar jeene ki chahat nahi,
marna chahata hoon magar maut meharbaan nahi,
tumhare yaadon ne to gher ke rakha hai mujhe,
tera saath bhi iss zindagi me shayad mumkin nahi.

ishq sabhi ko jeena sikha deta hai,
wafa ke naam par marna sikha deta hai,
ishq nahi kiya to kar ke dekho ek baar,
har dard ko sehna sikha deta hai.

karke dosti, hum doston ko nahi bhulate,
zindagi bhar hum dosti hain nibhate,
na tumhein ho batwaare ka ehsaas,
isliye ab hum naye dost nahi banate.

usse pyaar kar ke meri halat aisi kyun hai

aankho mein nami dil mein khalish,
usse pyaar kar ke meri halat aisi kyun hai?

khuda ki iss kaynaat mein lakho insaan hain magar,
mujhe ussi se mohabbat kyun hai?

kha kha kar dhokhe phir bhi main sambhalta nahi,
mujhe uss par itna bharosa kyun hai?

aye khuda ek gila tujhse bhi mujhko,
jaha dil se apnapan na ho,
wo dikhawe ke rishte tu banta kyun hai?

aankho mein nami dil mein khalish,
tujhe pyaar kar ke meri halat aisi kyun hai?


maine ek sapna dekha

maine ek sapna dekha... sapne me,
uss ne kaha kya ab bhi mere bare mein sochte ho?
maine kaha mujhe apne socho per kaabu hi kab tha

uss ne kaha kya mere baad kisi se mohabbat huyi tumhe?
maine kaha mohabbat duhraye jaane wala sabak to nahi tha

uss ne kaha kya mujhe bewafa k naam se yaad karte ho?
maine kaha hamare dermeya wafaaon ka talluk hi kab tha,

uss ne kaha mere zikr per ro lete hoge?
maine kaha barishon ka mousam gujer chuka hai

uss ne kaha tumhare lehje mein bahut udaasi hai?
maine kaha bahaar per fizaon ka mousam utar chuka hai

uss ne kaha tumhare aankhon main itni gehrai si kyu hai?
maine kaha sumander ki gehrai door se kab nazar aati hai.


meri neende meri woh raat kaha hai

rimjhim rimjhim barsti ghataye,
mere mann mein ek pyas uthaati hai,
tere na pass hone ki,
humein bahut yaad dilati hai,

jo waqt tere sath beeta tha,
ek hassen khawab ki tarah gujraa tha,
na jaane ab wo khawab kaha hai,
meri neende meri woh raat kaha hai,

gunjati hai jiski gunj,
aaj tak mere kaano mein,
pehle jasi khushiya kaha rahi,
ab mere aashiyane mein.


humein patha tha woh bewafa hai

mere dil ka dard koi na jane,
humein patha tha woh bewafa hai,
phir bhi hum na mane,


bewafai ki usne humare sath,
phir bhi hum mohobbat karte rahein unke sath,

khud to baduwa deke chale gaye,
phir bhi hum khuda se unki khushiyo ki duwa,
mangne chale gaye.

kyun khud ko barbaad kiye jaate ho

puchte hain kyun ussi se pyaar kiye jaate ho,
ye sawaal dil mere khud se baar baar kiye jaate hai,

wo to na rakh saki kabhi bhi wafao ka bharam,
phir kyun uski baaton pe eitbaar kiye jaate ho,

jante ho na nibha sakegi woh wafaye mohabbat,
phir bhi ussi ki chaahat me daman taar taar kiye jaate ho,

jab jhaak apne dil ke yunhi seene jaana tha to,
kyun diye uske zakhmon ko shumaar kiye jaate ho,

shayed kabhi na lout ke aaye woh mery taraf,
kyun aise musafir ka intezaar kiye jaate ho,

jaane kya us ladki ne kiya hai mujh par jaado,
shaam-o-subah khud ko bekaraaar kiye jaate ho,

bina uss ke lagta nahi hai kahi dil,
log kehte hain kyun khud ko barbaad kiye jaate ho.

kyon na unke hontho per kabhi mera naam aaya

na jaane kyon aaj yeh khyal aaya,
mohabbat jo thi unko hum se,
to phir judaai ka kyon sawal aaya,

ab tanha rote hain hum unki yaad mein,
phir kyon na unko hamara ek pal bhi khayal aaya,

jo kabhi mil jaate woh chalte chalte,
phir kyon na unke hontho per kabhi mera naam aaya.

hum kitne pagal ladke the

woh kitni achi ladki thi,
hum jisse mohabbat karte the,

kuch bholi si, kuch chanchal si,
hum jisse mohabbat karte the.

woh bolti thi, hum sunnte the,
hum sunnte the, aur hasste the,
woh kitni achi larki thi,
hum jisse mohabbat karte the.

hum unko sataya karte the,
woh humse khafa ho jati thi,
hum unko manaya karte the,
kuch nagamein sunaya karte the,
kuch raaz bataya karte the,
woh kitni achi larki thi.

jab door kahi hum jaate the,
woh aankhein nam kar leti thi,
maathe pe shikan le aati thi,
honton se bhale kuch na bole,
aankhon se sab keh jaati thi.


woh deep jalaya karti thi,
dawaze ki chaukhat pe,
woh sapne dekha karti thi,
roshan din ke ujaalon mein,
woh raat ko roya karti thi.

woh khat jab mujhko likhti thi,
sab acha hai yeh kehti thi,
woh dil ka haal na kehti thi,
chup rehti thi sab sehti thi,
aur khat ke aakhir mein aksar,
ek dil ko banaya karti thi.

hum khat ko poora pardhte the,
phir pardhte the, aur pardhte the,
har ek laffz ko chute the,
har ek ehsaas ko jeete the,
aur khat ke kone ko apne,
honton se lagaya karte the,
aankhon pe tikaya karte the,
maathe pe sajaya karte the,
seene se lagaya karte the.

ek roz achanak aisa hua,
haath churda ker woh mujhse,
rashte badal woh chali aur chalti gayi,
koi khabar na pata humein maloom chala,
jaane kidhar woh gum ho gayi.

jab hum untak pahunche to maloom hua,
jo aankhein nam kar leti thi,
jo chanchal thi, jo saada thi,
jo humse rutha karti thi,
jo dheeme dheeme lehjay se,
dil mein ek aag lagaya kerti thi,
jo deep jalaya karti thi,
jo aas lagaya karti thi,
jo khat ke kone pe aksar,
ek dil ko banaya karti thi,

woh ladki mujhko chord chali,
un saare sunahare yaadon ko,
ek pal mein mita kar chali gayi,
hum kitne pagal ladke the,
hum unse mohabbat karte the,
hum kitne pagal ladke the,
jo unse mohabbat karte the..

humein aanshu deke muskurate hain woh

dard deke khushiya manate hain woh,
aankhon mein aanshu deke muskurate hain woh,
hume to chord diya kaato ke daman mein,
khud gulhistan me rahte hai woh.

meri takdeer mein likhi kyu itni judaai hai

duniya ki bheed mein bhi, iss dil mein tanhai hai,
sirf tujh mein dikhti mujh ko khuda ki khudai hai,

saansein khatam ho jati hai, par hota intezaar nahi,
teri meri mohabbat mein jaan, likhi kyu itni judaai hai,

rab se maangte har lamha hum teri judaai mein,
teri yaad chalti hai saath tera, ban kar purwai hai,

bhool jate hai sab magar, bhoolta tera naam nahi,
teri meri takdeer mein jaan, 
likhi kyu itni judaai hai,

tere ishq mein meri ye zindgani sirf muskurai hai,
dekh lo kahan le aayi mujhe aaj teri bewafayi hai,

tere hone se hi hoon main, tere bin kuch bhi nahi,
teri meri daastan mein jaan, 
likhi kyu itni judaai hai,

ek roti ka khawaab sajaaye

khuda ki iss duniya mein,
koi insaan kyu bhukha rehta hai,
ek roti ka khawaab sajaaye,
kyu wo sadak per sota hai,

na hai koi aashiya uska,
na rehne ka koi thikaana hai,
chhat hai us par ambar ka,
aur sadak hi uska bichhona hai,

odhkar woh chand ki chandni,
issi umeed se sota hai,
ek roti ka khawaab sajaaye,
kyu wo sadak par sota hai,

jab kisi gareeb ka bachha,
bhookh ke liye rota hai,
sarddi ki thandi raato mein,
khud mein hi simat kar sota hai,

rote bilakhte bachhe ko,
thand mein sikudte bachhe ko,
uski maa apne kaleje se laga leti hai,
kal dhoodh pilaane ka bahana kar ke,
usko ek aur naya khwaab dikhati hai,

kal usse kuch mile na mile,
bas woh usse ek jhuti aas dilati hai,
yeh sab dekhkar mera dil pal pal rota hai,

ek roti ka khawaab sajaaye,
kyu woh sadak par sota hai,
khuda ki iss duniya mein,
koi inssan kyu bukha rehta hai,

ek roti ka khawaab sajaaye,
kyu woh sadak par sota hai..??

dil par kaabu paa na paaye

socha to bahut tha,
par dil par kaabu paa na paaye,
kisi se door hoke bhi,
hardum saath rahe hamare uske saaye.

kya naam du main iss rishtey ko,
har pal uski ka naam lab par aaye,
mere na hoke bhi woh anjaan,
mujhe nahi lagte paraye,

har dum jisko chaha maine,
har sitam jis ke liye uthaye,
log to jeete hai apne liye,
jee chahe hum ek baar unke liye jee jaaye.

jeene ka ye andaaz mujhe bhi sikha do zara

tumhare bin main kaise jeeyun bata do zara,
jeene ka ye andaaz mujhe bhi sikha do zara,

tum hi ne sikhaya tha mujhe pyaar karna,
ab tanha rehne ka tarika samjha do zara,

bahut dard hai meri khamosh raaton mein,
neendon mein apni mujh ko chupa do zara,

guzar jayenge khushi se lamhe intezaar ke,
mujhe apni muskurahat mein saja do zara,

meri yeh zindagi phir se zindagi kehlayegi,
apni saanson mein agar tum basa do zara.

inn sard andheri raaton mein

inn sard andheri raaton mein,
sab sadkein jab sunsaan si hon,
sab apne ghar ko laut chuke,
kuch jaag rahe kuch so chuke,
kuch naram khwaabon mein kho chuke,

woh tannha apni soch mein gum,
un sadkon pe yun phirta hai,
kuch khoj mein shayad rehta hai,

woh neend se koshoon door tak,
bas chalta hai or chalta hai,

jab thakta hai or girta hai,
tab yaad ke saare puraane zakham,
sapno ki soorat aate hain,
do aankhon ko dhundlate hain,

inn sard andheri raaton mein,
tab yaad bahut woh aate hain,
tab yaad bahut woh aate hain.

mohabbat aati nahi dil ko raas mere

kho gaye hain ab hosh-o-hawaas mere,
ye barf hai ya tham gaye ehsaas mere,

muskurate hain hum har gam ko chupa kar,
rah gayi jhoothi zindagi ab bas paas mere,

keh diya jee lenge woh humare bagair,
ajnabi ho gaye jo the kabhi khaas mere,

har mumkeen koshish kar ke hai dekh li,
yeh mohabbat aati nahi dil ko raas mere,

kaash ki aa jaye woh lout kar baahon mein,
aa jaye phir se saanson mein saans mere.

jo tum hoti paas

dard hai kitna batate, jo tum hoti paas,
iss dil ka haal sunate, jo tum hoti paas,

mil jaata sahara in dhadkano ko jara sa,
tere seene se lag jaate, jo tum hoti paas,

teri baahon mein hum bhool jaate khud ko,
do pal to muskurate, jo tum hoti paas,

kabhi koi raat jo guzarti teri mehfil mein,
thoda sote aur jaag jaate, jo tum hoti paas,

tumhari aawaz se apni aawaz milate,
ek ghazal gungunate, jo tum hoti paas,

bahut aarzoo hai mujhko tere saath ki,
apne armaan sajaate, jo tum hoti paas,

tum par shuru aur khatam zindagani ho,
aisi apni duniya basaate, jo tum hoti paas.

kya mera koi khuda nahi

meri saadagi mera jurm hai,
koi aur meri khata nahi,

yahan chaahton ka sila nahi,
yahan dosti ka maza nahi,

yahan jaane kaisi hawa chali,
rahi doston mein wafa nahi,

yahan jal gaya mera aashiyana,
abhi baadlon ko pata nahi,

main takata raha umeedon se,
mujhe manzilon ka pata nahi,

mere saath hi aisa kyu hua,
kya mera koi khuda nahi?

hum uss waqt ka intezaar karenge

dil, jaan, aur jigar nisaar karenge,
pyaar kiya hai aur pyaar karenge,

kabhi na kabhi to mil jaoge tum,
hum uss waqt ka intezaar karenge,

chutega na saath kabhi tera-mera,
kayamat tak hum aitbaar karenge,

karegi salaam har pal dhadkan meri,
hum iss dil ko tera darbaar karenge,

tere naam ke saath jurde mera naam,
hum khud ko iss kabil taiyaar karenge,

wo din bhi aaye kabhi zindagi mein,
har saans par tera deedaar karenge,

sambhal na paaoge tum apne dil ko,
itni mohabbat hum aye yaar karenge,

tujh ko bana le jo mera umar bhar,
har hunar wo hum iktiyaar karenge,

mil jaaye ab humare ishq ko makaam,
khuda se ye dua baar-baar karenge.

raat bhar dil ne tanhaiyon se tera zikr kiya

bheegi palkon ne aashkon se tera zikr kiya,
raat bhar dil ne tanhaiyon se tera zikr kiya,

chal diye tum to apni raahein juda kar ke,
sisakate aarmanon ne aahon se tera zikr kiya,

khatam ho gaya ye afsana baki kuch na raha,
bhikhre khawabon ne yaadon se tera zikr kiya,

umeedein khatam sahi phir bhi humein jeena hoga,
udaas dhadkano ne saanson se tera zikr kiya,

kaise guzaregi ab ye zindagi kuch khabar nahi,
khamosh labon ne nazaron se tera zikr kiya.


kyuki tum hi ho

meri duniya, mera pyaar tum ho,
mere har pal mein yaar tum ho,


hai iss zindagi mein jaan tum se,
mere dost, mere dildaar tum ho,

tere dil ke paas hai meri manzil,
meri dhadkano ka intezaar tum ho,

hai tum hi se himmat aur hausla,
meri har jeet, har haar tum ho,

aankhon mein hai tera hi chehra,
mere labon ki khilti bahar tum ho,

hai jeevaan tum hi se meri,
meri ghazal ka khumaar tum ho,

aaina ho tum meri shakhsiyat ka,
meri mohabbat ka aakaar tum ho.

inn dhadkano ki hukumat tum ho,
aye jaan, meri mohabbat tum ho,

bhulenge na jo tumko umar bhar,
wo zindagi ki meri safar tum ho,

ho basi saans ban kar mujh mein,
mere har lamhe ki hasrat tum ho,

kitna hai pyaar apne dil se puchho,
iss jaan aur jigar ki chahat tum ho,

pal-pal mere saath-saath rehti ho,
mere khayalon ki aadat tum ho,

nahi guzarti hai koi raat tere bin,
mere khawabon ki shararat tum ho,

aankhon ne kabhi dekha nahi par,
lagta jaise dil ki hakikat tum ho.

this pain is here to stay

Why did this have to happen
I was given the biggest test and I failed
I never thought that we would be struggling because of this.
Its still a shock to me and I got to be the one to take responsibility.

I have never loved like this before
and with you
there is just so much more
and as I sit here and cry
and the tears pour down as I type.

I know that this pain I am feeling won’t go
I feel so low
and I can’t just let it flow.

I can’t forget
no one will let
and every where I turn there is a reminder
but I don’t need one.

I have my own
I have my own bell
my own alarm that keeps going off
and every corner I turn lies the truth
and every where I go
there's you.

and I remember that you would never hurt me
and neither would I
I would never try.

I just want this pain to go
just float
just want it to sink
way down beneath.

I just want this to be over
but everytime it gets closer
to going away
it comes back
and this pain is here to stay

in my dreams

I met a girl who had the biggest smile on her
face and I never understood why. 

Her life seemed so perfect to the outside world. 

One day I ask her.. 
"Why do you always have a smile on your face? 
You just seem so happy and you have such a perfect life."

She laughed and then simply responded.

"Is that what everyone sees? 
Well this smile is not real. 
I paint this on every morning and wash it off when I am alone.
I have little to be happy about. 
I mean things in my life are greater then what it use to be,
but I still feel void inside." 

"Wow. I never knew..." was all I could say. 

She said, ‘Off-course you didn’t.
People just think that my life is so perfect and everything
that it’s not… and it’s not'.

‘Most days I struggle just to get out of bed.
Most days I ask God why am I here’.

I woke up and realised that she was my soul,
being asked these questions in my dream.
I was the person that feels this way.

ek shakhs gumnaam khaas lage

mohabbat ka makaam khaas lage,
dard-e-jigar ka inaam khaas lage,

bina jaane aap ko yeh dil de diya,
iss tarah lutna be daam khaas lage,

aap ka intezaar mil gaya jab se,
jaagna raat tamaam khaas lage,

guzre jo aap ke aasmaan se bhi,
uss chand ka salaam khaas lage,

aap ke honthon par jab aaye toh,
mujh ko mera hi naam khaas lage,

naa tasveer hai naa pata koi paas,
ek shakhs gumnaam khaas lage,

kabhi jeena toh khabhi mar jaana,
pyaar ka yeh anjaam khaas lage.


ab dard-e-dil kya likhein

kitni hai mohabbat kya likhein,
apni ishq ki tabiyat kya likhein,

karti hai bayaan sab aankhein,
ab dard-e-dil kya likhein,

bekaraar din aur raatein hain,
saanson ki ghuttan kya likhein,

ho gayi namkeen tanhaiyaan,
aashkon ki chubhan kya likhein,

intezaar-e-yaar mein guzri umar,
hum unki zulam kya likhein,

tukde tukde huye saare armaan,
lute dil ki shikiyan kya likhein

na aaye wo aur na unki koi khabar aayi

khamosh kadamon se ye mere ghar aayi,
ek aur surmai shaam phir mere dar aayi,

basaana chaha jab maine isse palkon par,
ban kar ye ashk aankhon se ubhar aayi,

mar-mar kar jeete rahe mere saare hasratein,
kasak ban kar yaad bhi dil mein utar aayi,

dhoondta raha main andheron mein khud ko,
bas khaali zindagi hi darmiyaan nazar aayi,

karta raha ye mohabbat intezaar subah bhar,
na aaye wo aur na unki koi khabar aayi.

khojte rahe unhein hum parchaiyon mein

toot-ta raha ye jism mera angadaiyon mein,
adhoore rahein mere armaan tanhaiyon mein,

bheegi raaton ki khumari ishq wale hi jaane,
khojte rahe unhein hum parchaiyon mein,

sulagti saansein, jalte labon ko rahaat de do,
beet na jaye aaj ki raat phir ruswaiyon mein,

khaali bister ki salwaton mein dil hai tardapta,
dil se mere kasak uthti rahi teri judaiyon mein,

mil jao hum se kuch is tarah ke faasle na rahe,
do ruh ek ho jaye, mohabbat ki gehraiyon mein.

hai humein tera intezaar monika

karte hain tumse pyaar monika,
hai humein tera intezaar monika,

kaise karoon main bayaan haal-e-dil,
rehte hain hum bekaraar monika,

na din behalta hai aur na raat dhalti hai,
zindagi ho gayi hai bezaar monika,

paas aa jao kabhi to raahat ban ke,
hai tez saanson ki raftaar monika,

jinhein fursat nahi hume yaad karne ki,
unhi ke ishq ke hain bimaar monika,

kuch aur ab mujhe yaad nahi tere siwa,
mohabbat ka hai khumaar monika.



tere jane ke baad

mat pooch ke kya halat huyi hai tere jaane ke baad,
jaise koi ujrda chaman ho bahaar jaane ke baad,

tu thi to har koi hass kar mila karta tha,
ab sab paresaan-e-haal hai tere jaane ke baad,

tu thi to zindagi se mohabbat thi humein,
ab to bus din guzar rahe hain tere jaane ke baad,

tere hi dum se thi hamari saari khusiyaan,
ab mujhe kuch bhala nahi lagta tere jaane ke baad,

tere hi dum se thi yeh baharein, yeh mehfilein,
ab yahan kisi ka basar nahi tere jaane ke baad,

jo kismat mein ho jo woh ho kar hi rehta hai,
ab yehi dil ko samjhate rehte hain tere jane ke baad.


ab aur hum se kaanton ko chuwa nahi jata

yeh gam humse zahir kiya nahi jata,
ab isse jada iss zindagi ko jiya nahi jata,

khud ko paa ke akela,
kisi aur kaa huwa nahi jata,

apni hatheli se kismat bhi mit chuki hai,
ab aur hum se kaanton ko chuwa nahi jata…

why is love so painful

I loved you,
You said that you loved me too,
and I believed you but you lied why?

I gave you so many chances,
but you screwed me up.
Every chance I gave you why?


I thought to myself,
Every time before giving you another chance,
If you cheated on me several times, why not again?


But I was so weak...
Because you always said that you would change,
Just to make me happy.


When I had the strength to leave you,
You came running to me with your warm hugs,

and your sweet lips.

Making me weak to let you come back to me why?
I want to know one thing why is love so painful?

unke chehre par hai chehra

yeh safar kitna kathin hai, raasto ko kaya pata,
kaise kaise hum baache, haadso ko kaya pata,

aandhiya chalti hai to phir sochti kuch nahi,
tute hain perd kitne aandhiyo ko kaya pata,

aapni marzi se wo chuume, apne maan se chord de,
kis kadar bebas hai gul, titliyo ko kaya pata,

ek pal mein raakh ker de woh kisi ka ashiana,
aur kaisa banta hain ghar, unko  kaya pata,

aaina yeh sochta hai, saach kaha karta hai woh,
aur unke chehra par hai chehra, aaino ko kaya pata,

jaane kab dekha tha unko, aaj tak unke hai hum,
aur keemti kitna the woh paal, un pallon ko kaya pata,

jaisa woh hain hum to aisa ho nahi sakte,
hum unhein kitna chahte hain, dushmano ko kaya pata.

sooni si hai zindagi

tere bina har pal soona sa hai,
sooni si hai sanam zindagi.


mere jeevan ki pehli ghazal tu,
tu hi meri hassi tu hi aanshu,
aur boondein yeh baarish ki bhi,

teri hi nishaani hain.

ek aise hi din hum mile the,
har taraf geeley moti gire the,
aur boondein yeh baarish ki bhi,
teri nishaani hain.

tere bina har pal soona sa hai,
sooni si hai sanam zindagi.

aaj aaja ya mujhko bula le,
mujhe baahon mein apni chhupa le,
main akela hoon bilkul yahaan,
bilkul akela hoon.

jo tujhe yoon hi main bhool paata,
to na tujhko kabhi bhi bataata,
main akela hoon bilkul yahaan,
bilkul akela hoon.

tere bina har pal soona sa hai,
sooni si hai sanam zindagi,
sooni si hai sanam zindagi...

yeh aakhri paigam untak pahucha do

koi to meri umar bhar ki iss saza ki wajh bata do,
kuch sawal baki hain hume unse do pal mila do,

phir nahi aayenge khabi unki raahon mein,
bas chain iss dil ko aakhri iss waqt mein dila do,

dua paoge jo ek karam farmaoge meri udaas mohobbat par,
gujarish hai bhujti nazro ko aakhri baar dikha do,

humari hi bhool thi jo dil laga liya unse,
par ab kuch to is tardapte dil par reham farma do,

mohobbat na sahi tune apne dil se nafrat to ki thi,
tujhe teri bewafai ki kasam ab apne naam ka kafan hi pehna do,

keh dena unse ki humne kiya tha aakhri saans tak intezaar,
karte hain ab bhi dil tord mohobbat tumse,

yeh aakhri paigam untak pahucha do...

woh to chord gaya hai tera dil

rishto ki saansein kyon itni kam hai,
aye dost teri aankhein kyon namm hai,

jo kar gaya tujhe taanha hai,
phir tujhko uss ka kyon gamm hai,

kal tak tha jo tujhe kehta apna,
aaj ban gaya woh ek begana,

haath ke bandhan chord gaya hai woh lekin,
dil ko tardapta chord gaya hai lekin,

uske aane ki umeed mat laga aye dil,
woh to chord gaya hai tera dil.

jab bewafai unhone ki to nazrein hum churaye kyu

naraz hain hum rab se koi aur ab hume manaye kyu,
jab likhein hain aashun to ab phir mushkuraye kyu,

dil jala hai ab jism rakh ho jaye to fark ab kya hoga,
dil hi to tha iske liye ab shokh manaye kyu,

berang mohobbat thi jo zindagi ko berang kar gayi,
naam kisika khoon aye jigar pe sajayein kyu,

lakh chaha ke hum bhi andekha kar dein unhein milte waqt,
par jab bewafai unhone ki to nazrein hum churaye kyu,

aankh jukhayenge jo kabhi mujh dikhenge to sawal unse puchenge,
hum to ab bhi unpe marte hain to  dushmani jataye kyu,

marham lane bheja tha woh zeher laye humari maut ko,
dil na mila na sahi ab mehboob ke hathon se zeher ko thukraye kyu,

nadaan hain woh jo dawaa karte hain mohobbat ko bhul jane ka,
hum un fareebi-jhooton mein milkar yeh jhoot fehlaye kyu,

sajda kiya hai unka, manga hai unko khuda se maine,
ab kismat mein yaar nahi to is ishq pe pachtaye kyu.

tu hoti aur bas tera anmol pyar hota

kash itna mere naseeb mein yaar hota,
tu hoti aur bas tera anmol pyar hota,

na hote hum yun beghar khabhi,
agar tere pehlu mein mera sansar hota,

mauzon ne tord diya kinara umeed ka,
bach jate agar uss waqt tera saath hota,

kaha tha bhari mehfill mein izhar na kar,
nazar na lagti to salamat mera pyar hota,

gawahi deti duniya humari chahat ki,
gar aaj bhi tere dil mein wahi khumar hota,

waqt thamta nahi khabi kisi ke liye kehte hain,
tere saath gujaar pal chupaye rakhe hain muthi mein,
pata chal jata to aitraaz unhein beshumar hota.

jisne badli hamari kismat uss humsafar se milaun tumko

wafa kya hoti hai wo to khuda jaane,
bewafai ka sabab pucho to bataun tumko,

kaise sajate hain aashian kya pata,
tabahi ka silsila aao bataun tumko,

diye jalate hain log ghar roshan karne ko,
dil mein aag lagti hai kaise sunaun tumko,
halaat kuch aise the ke barbad ho gaye,
us khauf-naak samay ki dastaan sunaun tumko,

dard halka ho isiliye insaan aashu bahate hain,
kaise banjate hain yeh zeher bataun tumko,

khair hai jo hua so hua humari kismat thi,
jisne badli kismat uss humsafar se milaun tumko,

humare humsafar ne hi rasta bhatka diya,
kisi ko dundti nigahein, kya kehti hai dikhaun tumko,

bas yehi hai zindagi, yeh hai dastan aye mohobbat,
beghar be-wajood zindagi ka aur kya sunaun tumko.


mohobbat na karna ki yehi hai meri halaat ki wajhe

zindagi ne kayi naye chehare har roz dikhaye the,
isme jada humne udaasi ke lamhein hi bitaye the,
ek pal khushi phir humesha tanhai mein rona tha,
jawani ke din humne mohobbat-e-dard mein bitaye the,

tumne to ki hogi sirf yun dillagi khabi kisi gair se,
hum to apno ki nafrat ke sataye the,
tukda tukda dil hua tha aur aashuon ki barsaat huyi,
kayi shaam jhonke jab unki bewafai ke paigam laye the,

tuta hua dil bhi humne rakha tha pairon mein unke,
aaj bhi yaad hai hume wo pal bebasi ka,
jab wo un tukdon ko rond kar mushkuraye the,
ao suno meri zindagi mein kaise kaise mausam aaye the,

humse kaha tha usne karlo shikwa kal waqt mile na mile,
sach hoga khabi yeh aise khyal bhi khabi na aaye the,
humne muthi mein bandi thi yaadein jeene ke liye,
waqt ki leher mein us khushi ko bhi baha kar aaye the,

le chalo hume aye maut ke farishton is duniya se,
jawani mein humne issi dua ke liye  haath uthaye the,
mohobbat na karna ki yehi hai meri halaat ki wajhe,
issi galti mein dil tham humne har shaam aashuon me bahaye the.


issi aas se do saansein aur barda lete hain

raat hote hi hum dil ko thaam lete hain,
kuch dil ka haal chand ko bata lete hain,

bas yehi hai kaafi ki tu khush hai aur kya,
issi baat se hum bhi mushkura lete hain,

jo socha tha khabi banega aashiyan humara bhi,
hum ret mein banate hain phir usse mita dete hain,

humne sapne sajaye the jo woh tut gaye,
bas khuli aankhon mein ab raat gujar lete hain,

waqt rukhta nahi kisi ke liye aye dil,
darde dil ko yehi soch kar mana lete hain,

koi jeeta hai shayad kahin humare liye,
issi aas se do saansein aur barda lete hain.


let them know how much you care

Funny how when you meet someone you never really know,
If they are going to stay around or suddenly just up and go.

Rarely do you know ahead how important they may be,
will it turn into a friendship on that you must wait and see.

Interesting also is the way you met was it planned or just by chance.
It could happen on the internet or at a summer’s dance.

Someday we may understand how important friendships really are.
And if compassion replaced anger we really could go far.

Yes, friends are strangers we have yet to meet and they may come from anywhere.
Always keep compassion in your heart and let them know how much you care.


bahut udaas hoon aaj

mere dil ko behlao ki main bahut udaas hoon aaj,
akar koi nayi baat sunao ki
 bahut udaas hoon aaj,

yaad aayegi ab isbar teri to jaan lewa hogi humdam,
raat mere paas hi baitho ki 
bahut udaas hoon aaj,

najane kyu phir yeh tannhai dasne lagi, tardpane lagi,
wajhe isse poocho aur mujhko batlao ki 
bahut udaas hoon aaj,

mere dil me ajaab si baatein khayalon mein aaya tha,
ki chaahat ke mausam mein tannhai ki suagat maine paya tha,

mujhe kuch is tarah chaaho ki yeh bhool jaun,
sirf mujhe dekho, mujhse baat karo ki bahut udaas hoon aaj,

waqt bewaqt hume satate ho aap, hum maana kiya karte hai,
par ab kuch khoob chaaht jatao ki bahut udaas hoon aaj,

mere baare me kuch kaho, meri tareef karo  ki bahut udaas hoon aaj,
khaabon mein duao mein hume maango ki bahut udaas hoon aaj,

suna hai prem nagar mein khushiyan hi khushiyan hain,
mujhe yakeen dilao ki bahut udaas hoon aaj.

All Time's Favourite Posts