aankho me kyon badal ban kar yaad tumhari aati hai,
dil ke palkon par jaise koi darakh si lehraati hai,
zakhm hara kar jati hai ye raatein kyon sawan ki,
dard bardha kar mere dil ka ghata yeh kyon muskati hai,
kabhi yeh moti aankhon wale, jalan jigar ki kabhi-kabhi,
aahein man ki, kyon ruk-ruk kar tumko roz bulati hai,
kabhi dhoop ban, shaya ban fir ek woh bholi si ladki,
mere iss soone dil ki dhadkan kyon bardhati hai,
tujhe mubarak teri khusiyan main to jee hi leta hoon,
tere sang jeene ki khwahis meri umra kyu bardhati hai,
gar na raha kal iss duniya me aanshu ban kar aaunga,
door se tujhko dekhunga ye man ki lagan batati hai,
tu apni mahfil me khush hai mere gam ka raaz yahan,
koi kare na pyar kabhi, harjaai bahut rulati hai,

dil ke palakon par jaise koi darakh si lahraati hai.

No comments:
Post a Comment