hum apne aaj mein kal dhundhte hain

sukoon ke do pal dhundhte hain,
hum apne aaj mein kal dhundhte hain,

gujari huyi yaadon ke beech rah kar,
ek aur naye gam ka pehalu dhundhte hain,

phoolon ke jahan se bahut chot khayi ab tak,
chalo ab tanhai ka jungal dhundhte hain,

doston ke shehar mein dard samet kar,
naya aur ek sitam dhundhte hain,

jin lafzon se woh mere jazbaton ko samjhe,
aisa hi aur ek ghazal dhundhte hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts