jab dard nikal naa paaye, sukh jaaye to kya kare,
ashk paani ki jagah lahoon barsaaye to kya kare,
dhadkan aur zindagi ka kitna hota gehara naata,
dhadkan hi kaanto sa chubhata jaye to kya kare,
rim-jhim barish ka paani pallavit kare har dil ko,
woj jab tufaan ka aagaz kar chaaye to kya kare,
andhere se dara man chikh kar bulaata apano ko,
jo apani chaaya ko bhi dekh na paaye to kya kare,
ek apana ek sapana zindagi ke do rukh ban gaye,
sapne ki khushi bhi bichardane aaye to kya kare,
aalam ye aisa ghir raha, dard ko tannha sahane ka,
dar se maut bhi apne saath na le jaaye to kya kare,
aanshuon ko jalaa kar, khush hote rahe kai dino se,
ab ye ashk bhi mera mazaak urdaaye to kya kare,
unki ki talaash me ghoomate rahe kaanto mein bhi,
khood ka wajood hi prashn uthaaye to kya kare.

No comments:
Post a Comment