ek shaam baitha lagane zindagi ka hisaab

ek shaam baitha lagane zindagi ka hisaab,
madham thi roshni, paimane mein thi sharab,

soch raha tha kya khoya, kya paya,
kya haasil kiya aur kya gawaya,

hisaab pura hone par yahi samajh mein aaya,
hasil to kuch hua nahi bas gawaya hi gawaya,

ta-umar khud ko tanhai mein rota paya,
yaad nahi aata mujhe aakhri bar kab muskuraya,

dua maangi thi aashiyane ki,
chal padi aandhiya zamane ki,
mera gham koi samajh na paya,

haqekat ka samane jab hua to khwab aise tute,
maut ke bulawe par zindagi jaise ruthe,
meri kabar par kisi ne aanshu nahi bahaya,

ek shaam baitha lagane zindagi ka hisaab,
madham thi roshni, paimane mein thi sharab.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts