koi zulm dhaata raha zindagi bhar

koi zulm dhaata raha zindagi bhar,
koi muskuraata raha zindagi bhar.

ho kaatein ke sholey na ki fikr koi,
woh daaman sajaata raha zindagi bhar.

woh kahta usse gham laga hi nahi hai,
to kyon muskuraata raha zindagi bhar.

haan ghar mein siwaa uske koi nahi tha,
woh kiski sunaata raha zindagi bhar.

thi maasum si kuch baras ki kahaani,
woh bachpan lubhaata raha zindagi bhar.

tha mera shajar yun hawaa ka khilauna,
main tinke jutata raha zindagi bhar.

us insaan ko yun khuda kar chale the,
woh minnat karaata raha zindagi bhar.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts