aate ho kya ab bhi yahaan tum

aate ho kya ab bhi yahaan tum?
pardhte ho kya meri shayari tum?

hai na koi raasta milne ka phir bhi,
tera saaya kahin dhoondta hoon phir bhi.

samajhte ho mere ghum ko kya tum,
yaad karte ho woh suhaane se din tum?

dhoondoon to kahaan main tumhein,
paas apne kaise bulaoon main tumhein.

ishaara kissi tarah se de sakte ho tum,
sapno mein bas ek baar aa sakte ho tum?

jaanta hoon tum ab nahi mere,
na hi mujhe khuch maante ho ab tum.

awaaz apni kya suna sakte ho tum?
apni baahon mein mujhe le sakte ho tum?

honthon ki pyaas na bujhaane di tumhe, 
gale se ek baar phir laga sakte ho tum?

andhere se kya nikal sakte ho tum,
aate ho kya ab bhi yahaan tum?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts