kabhi tanhai ke lamhein
tumhein jada sataayein to,
kabhi koyal na bole to
aur jugnuu laut jaayein to,
kabhi jab dil bhi bhar jaaye,
koi jab sun na paaye to,
ager sab dost saathi bhi
jo tum se rooth jaayein to,
kabhi jab khud se lard-lard kar,
thakan se choor ho jaao,
kabhi chaahte huye bhi
khud akele roo na paao to,
apni aankhon ko band karna,
mujhe awaz de dena,
aur phir mere ashk se
jo chaaho baatein keh dena,
mere kaandhe pe sar rakh kar,
tum jitna chaaho ro lena,
phir khud main jab laut jaao to,
ussi duniya chale jaana,
magar bas itna khena hai,
ke jab bhi dukh ya khushiyon mein,
humein dil se pukaroge,
humein tum saath paaoge,
hamesa sath paaoge
No comments:
Post a Comment