chuukar teri ruuh ko mere ruuh ka yeh ishaara tha

woh shaam, woh masti, woh shokh nazara tha,
surkh sooraj se nahaya dariya ka kinaara tha.

dubte shams ki garmahat, hamare ishq ki shiddat,
jaise door chitiz pe hamari chahat ka sharaara tha.

jaise do dil mile ho, fiza mein kayi rang ghule ho,
mere lab-o-rukhsaar ko teri ulfat ne sanwara tha.

jaise sham ki khusbu, aanchal mein mehak gayi ho,
daaman mein samaya, tera chehra yaadgar tha.

matwaali, albeli, lehron ke badan pe woh cheeinte,
ret sane mere jism ne, teri khil-khilahat ko pukaara tha.

mere chehare par teri saanson ka machalna,
tere chuwan ki be-khudi mein, mera jism para para tha.

shabnami labon ki aanch se, saansein behak gayi,
mauz-o-masti ke aalam mein mera ruup awaara tha.

meri khwaab aur hasraton ki aandhi jo chal pardi,
mehboob teri baahon mein mera sab tumhara tha.

shafaq kirnein, woh sab fizaayein, dhadkanon ke nagmein,
woh bijli ki chamak, woh gul, inmein hua bebas yeh dil bechaara tha.

saare jahaan ki khushiyan tujhko main nichawar kar doon,
chuukar teri ruuh ko, ‘raaj’ ki ruuh ka yeh ishaara tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts