kuch khud bhool gaye kuch nadaniyon mein gum huyi

mehfil ki sari raunk, tanhaiyon mein gum huyi,
ghadiyan jo kuch pane ki thi, mehrumiyon mein gum huyi,

saari muskurahtein woh chaahtein jaane kahan simat gayi,
khushiyon ki thi jo mushkilein, aashaniyon mein gum huyi,

karne ko to bahut kaam tha par hua kahan,
umar ki saari hasratein duswariyon mein gum huyi,

kaise kahe ki tannha ghadiyan kat rahi hai kis tarah,
kuch khud bhool gaye, kuch nadaniyon mein gum huyi,

ahad-e-hawas ki shaman hai charo taraf aaj,
woh sachhi mohabbat, ruswaiyon mein gum huyi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts