juda ho gaya main

main yeh sochkar uske dar se chala tha, 
ke woh rok legi, bula legi mujhko, 
hawaon mein lehrata aata tha aanchal, 

woh daaman pakad ke bitha legi mujhko, 
kadam aise andaj se uth rahe the, 
ke aawaz de kar bula legi mujhko.

magar na usne roka, na usne pukara, 
na daaman hi pakda, na mujh ko bithaya, 
na aawaz hi di, na waapas bulaya, 

main aahista aahista bardhta hi aaya, 
yahan tak ke usse juda ho gaya main, 
juda ho gaya main,  ha juda ho gaya main.

kar gaye kyun hum kayi khatayein anjaane mein

chale aaye woh yaar aaj apne gareeb khane mein, 
aur hum kar gaye kayi khatayein anjaane mein, 

yeh kya nasha tha meri aankhon mein ja samaya? 

ruth gayi khushi woh, umra lagi jise kamane mein.

kya khabar thi woh bura maan jayenge iss kadar, 

ki humein lag jayeinge kayi baras manane mein,

na rok saka unhein main bebasi yeh kaisi chayi thi? 

yeh saza hai meri, gujar doon zindagi pachtane mein. 

kal ka kya bharosha, yakeen ho bhi jayega unhein, 

hum na rahein, kahin kar de itni deir batane mein,

wahi manzar wahi jism, na raha woh saccha pyar, 

ghar luta apna, duniya sajayi hai ghumkhane mein. 

aur na poocho dastaan-e-mohbbat aye zamane walo, 

hai yahi kahani meri, suna dala jisse iss tarane mein.

kyun aaye woh yaar aaj apne gareeb khane mein, 

kar gaye kyun hum kayi khatayein anjaane mein. 

11 years since we first met

in my bedroom, sitting quietly, 
listening to songs that remind me of you, 
thinking back to when we came together, 
thinking how much I desperately miss you. 

no photos to look at, 
tears fill my eyes. 
remembering how happy we were, 
how I just didn’t appreciate. 

I miss everything, 

from shopping, to talking, 
holding you close to my heart. 
I miss our hugs and kisses, 
I try to forget. 

11 years since we first met, 

time goes by so fast, 
yet it still feels like moments since, 
we were togeher in happiness. 

you told me the past has gone, 

and that we remain forever apart, 
never you see me in your future, 
I will never have your heart. 

those words burn in my soul, 

I believe every word, 
also believe in eternal love, 
a love that is no longer felt or heard. 

forever I will whisper in the dark, 

I will whisper ‘I love you.’
maybe you hear me quietly, 
like the wind soft as a breeze,

forever whisper, 
whisper to you.. 

there is still a place for you in my heart and soul

when I find my self thinking of you
more then I should, 
never stop myself even if I could,

thinking about how I dream of your kisses, 

your warmth, your presence, 

evertime I see you 
I want to shout how I feel for you.

I want to hold you and 

show you what we had was real.

I remember the first time you said I love you, 

and I said I love you too.

my heart soared because 
I could always count on you to make me smile,

no matter what you still have such devastation to my heart, 

that there is still a place for you in my heart and soul, 
when ever you decide to began from a new start.

I still think of you

since you are gone, 
all is an empty space, 
nothing is the same.

I return to the places we visited, 

I feel your presence, 
I live all those memories again and again, 
wishing you were there.

memories all around me 

bringing it back all so real, 
I remember all of those days 
wishing you were there.

every lonely night and day, 

I go through the days and nights, 
I still think of you, 
yes I do... 

I can't go to sleep without thinking of you

I can't go to sleep, 
I am just thinking of you, 
all of the feelings coming through my soul 
when I am with you, 

nowhere else I want to be 
it's just right, you with me.

you make me melt when you kiss me, 

you make me faint when you touch me,  
I have all these emotions, 
never felt this way about anyone in my life.

I am so happy, 
I want to cry, 
the fact that I am with my dream,

your perfect in everyway, 

I lived for someone like you, 
I am wide-awake thinking of you,

you must be an angel, 
no other explanation 
these feelings are real, 
not just dreams or fantasy 
I love being with you.

just watching the stars, 

so special with you 
I don't care what anyone else has to say 
it's just you and me,  forever...

I sometimes cry myself 
to sleep with thoughts of you, 
these are tears of happiness, 
you are all I want,

everything else is meaningless, 
I don't know how to explain how I feel, 

but I know that its for certain and true 
I can honestly say I love you, 
while I can't go to sleep 
without thinking of you.

kuch bhi to tere siwa nahi maalum

zindagi ka pata nahi maalum, 
kuch bhi to tere siwa nahi maalum, 
jisne baksha hai dard usko bhi, 
dard-e-dil ki dawaa nahi maalum,

zor-laga usne kuch kaha to tha, 

hothon par koi baat aayi to thi, 
zoe-e-lab usne kuch kaha to tha, 
ba-ddua ya duaa, nahi maalum.

us-se jo bhi mili sazaa, seh li, 

humko apni khata nahi maalum, 
raat phir neend meri khul gayi, 
thi woh kiski sadaa nahi maalum.

jaan dena hi humko aata hai, 

ishq ka falsafa nahi maalum, 
zindagi ka pata nahi maalum, 
kuch bhi to tere siwa nahi maalum.

seeking response perhaps my foolishness

seeking response 
perhaps it is my foolishness, 
or you may say it is my foolhardiness, 
for trying to love you always!

whether you recognise my love’s mission, 

or fail to see it due to an erroneous vision, 
or due to your materialistic ambition, 
will not alter my loves adulation!

as long as I shall live on this earth, 

and till such time I finally depart, 
love shall flow from all the chambers 
of my loving heart!

do not try to call me back 

when it gets too late, 
for no one then can alter our fate, 
and your response will remain unheard, 
since none can return from the world of the dead!

but a change of heart can change our fate, 

to make our love immortalised instead.

kisi anjaan safar par thame dosti kaa haath

mere dost main woh nahi jo dikhta hoon, 
jaan bujh kar maine ek libaas pehen rakha hai,

jo mujhe tumhare sawalon se bachata hai, 

aur tumhe mere takalluf se.

mere dost jab tum guzrti hui 
hawa ki aur ishaara karte ho, 
mera dil to kisi samunder ki gehraiyon mein khoya rehta hai. 

tumhare kehne par hi main apni gehraiyon se uthkar, 

guzarti hui in hawaon ko mehsus kar leta hoon, 

kyunki main jaanta hoon, 

tum mere samunder ko samajh nahi paoge, 
jab tumhara yaha kisi ujle din ki shuruat hoti hai, 
mere waha ek suni raat apna geet gungunati hai. 

tumahri nazro se main suraj ki kirno ko failte hue dekh leta hoon, 
jab ki tum taaron se pankh ladaati meri raat nahi dekh paate,

dost jab tum kisi jannat ki aur chal padte ho, 

main apne jahanum main simat jaata hoon,

tunhare saath main kabhi jannat ko dekh leta hoon, 

par hamesha main tumhe apne jahanum se door rakhta hoon,

kyunki main jaanta hoon yaha ki aag tumhara chehra jala dega, 

aur yaha ka dhua tumahari aankhon ko pighla dega.

jab tum hans padte ho main bhi hans leta hoon, 

tumahre khwabo ki duniya mein sang tumhare ho leta hoon,

meri jujlaati hui hakeeqat se tumhe bahut door le jaata hoon, 

kyunki tum meri deewani duniya se wakif nahi 
aur mujhe tumhare jaha se nahi koi wasta.

phir bhi aye dost, 

yuhi saath saath hum chal padte hain 
kisi anjaan safar par thame dosti kaa haath..

so little in common between you and me

since you only judge me for my lack of success, 
no mister you I am not out to impress, 

we look at life one might say quite differently, 
and on what constitutes success you and I don’t agree, 

the people with heaps of money to you matter most, 
to these sort of people you do drink your toast, 

for human compassion you never allow, 
to publicly proclaimed high achievers you have chosen to bow, 

on life you have your own ideas and that suits me fine, 
and your sense of values are different to mine, 

and you air your opinions and that’s a good thing, 
but this not of your heroes that I wish to sing, 

we look at life one could say quite differently, 
and so little in common between you and me.

dil mein kisi ke pyar ki hasrat liye hue

dil mein kisi ke pyar ki hasrat liye hue, 
baitha hoon zindagi ki amanat liye hue, 

woh din gaye ki ghum tha teri jalwa mein, 
ankhein hai ab to dedh ki hasrat liye hue, 

gar pad sako to dil ki nigaon se pad kar dhek, 
har shaksh hai khud apni hakiqat liye hue, 

raahe wafa mein thokare khane ke bawajood, 
phirta hoon dil mein joshe mohbbatein liye hue. 

life is an art of drawing without an eraser

our life is neither a remix nor a remake,
where the actor, the script, and the music
always change!

each single life remains as an unique
and as an original piece,

where our individuality asserts 
and finally peaks!

we should be grateful for this god-given life,
which is always completed in a single take!

forgetting those insipid and 
immitative remakes!

let us treat this life as a rare gift 
and a treasure,
for life is an art of drawing 
without an eraser

yun palat jaaye meri zindagi to kya baat hai

kitabon ke panno ko palat kar sochta hoon, 
yun palat jaaye meri zindagi to kya baat hai. 

khwabon mein roz milte hain jo, 

hakikat mein mil jaaye to kya baat hai.

kuch matlab ke liye doondhte hain mujh ko, 

bin matlab jo woh aaye to kya baat hai. 

katal karke to sab le jayenge dil mera, 

koi baaton se katal kar jaaye to kya baat hai. 

sarifon ki sarafat mein jo baat sunai na de, 

ek sharabi keh jaaye to kya baat hai. 

apne rahne tak to khushi dunga sab ko, 

jo kisi ko ‘raaj’ ki maut se khushi mil jaaye to kya baat hai.

humare sawalon ke woh jawab dhundte rahe

humare sawalon ke woh jawab dhundte rahe, 
jaha koi ghar naa bacha tha hum deewar dhundte rahe, 

khwaish humne ki thi ek aise safar ki, 
mujhe waha ke gubbar dhundte rahe, 

zindagi mujh se khel rahi thi aur 
hum maut ke auzar dhundte rahe,

badlenge kabhi yeh gum ke din iss umeed pe, 
hum badlaav ke aasaar dhundte rahe, 

sachaai haar chuki tab tak
khuda zami pe aane ke avtaar dhundte rahe. 

I will come down as a drop of rain

I will come down as a drop of rain 
to feel your mesmerizing touch.

I will come down as a word of a poem 

to stay on your mind for a moment.

I will come down as a ray of hope 

to feel your warmth when I reach you.

I will come down as a falling star 

to have the pleasure of making your wishes true.

I will come down as a singing bird at the dawn 

to wake you in the morning with the sweet songs.

I will come down as the autumn 

to show my love by showering flowers in your path.

I will come down as the moon and sky 

to fall in to your lap just to make you smile.

ghanan-ghanan badra barso to zara

badalon ka chupke se aana, 
badalon ka chupke se jana, 
dharti yeh pyaasi tarase, 
barse se yeh kyu naa barse, 
ghanan-ghanan badra barso to zara. 

ho bundon ke ghungru bandhe aaja re sawan, 

malhaar gaaye, koyal nache morr ban ban, 
cham-cham se aana, madhuban mehakana, 
rut ke mukhde se ghunghat sarkana, 
jhan-jhan va badra barso to zara. 

sun aye pawan tu, hai bada be-dardi, 

kahe naa laaye badra, kyu der kar di, 
zara pyaar se jaao, badal ko bulao, 
badal se kehna, aise naa satao, 
papihe ki pihu-pihu gunje to zara. 

badalon ka chupke se aana, 

badalon ka chupke se jana, 
dharti yeh pyaasi tarase, 
barse se yeh kyu naa barse, 
ghan-ghan va badra barso to zara.

I love you and I miss you

my heart beats for one more time, 
agony inside me has emanated the rest.

as I once again re-discover the joy of being obsessed, 

truth amidst the illusions, has once again been suppressed.

suppressed forever like my dreams which left me depressed, 

frustration seeks to escape in the flow of words.

words are not just words, but jeweled with the drops of tears, 

heart of mine refuses to go on in your demise.

if only your love could be a reprise, 

as my heart beats for one last time.

I still can hear it say, 

I love you and I miss you.

aaj to bewafa mujh ko dhoond rahi hai

har waqt hum dhunda karte the khusiyan, 
aaj khusiyan hi mujh ko dhund rahi hai, 

us waqt to main tarap kar ro raha tha, 

koi bhi mere haal ko na puchnewala tha, 

aaj main jab chu raha hoon bulandiyon ko, 

to kyun mere pass tu laut ke aayi ho?

kabhi kabhi unki bewafai yaad aati hai, 

aaj to bewafa mujh ko dhoond rahi hai.

chaaho jise wahi dil se door ho jaata hai

chaaho jise wahi dil se door ho jaata hai, 
dil hi kuch is tarah majboor ho jata hai, 

yeh to waqt he hai jo nafrat ho gayi zindgi se, 

ki phool bhi zakhm de to naasoor ho jata hai.

kaise sajaye koi khwaab in aankhon mein, 

chand hi lamhon mein har sapna choor ho jaata hai.

yakeen kaise kare koi jo dard baatne ko kahte the, 

wahi darde dil ke saath dil bhi to le jata hai.

broken heart still beats for you

love has turned in to a dream, 
that will never be realized, 
I am drowning in the estuary, 
of my own tears,

desire to live is dying soon, 
and the smile is soon fading, 
heart has crumbled in to pieces, 
but I can still feel it say ‘aye.. love you’.

broken heart still beats for you, 

and goes on if you can come back, 
heart is tired of beating, 
and in pain it is now bleeding, 

with my heart broken, 

withered hope... 
you ask me to live on?

kya yahi zindagi hai

kya yahi zindagi hai? 
har saks paresaan hai, 
har chere pe udaasi hai.

har aankh mein aanshu hai, 

har aatma pyaasi hai, 
ke har chehre pe chehre hain, 
har hasrat pe pehre hain.

kya yahi zindagi hai?
har dil mein kuch aur hai, 

juban pe kuch aur hai.

ki peeth mein khanjar kyon bhokne ka dour hai? 

kya mar gayi insaniyat ya badli hai neeyat?
ki bas sochna apne baare mein sirf apne bare mein.


kya yahi zindagi hai?
pyar ke badle dhoka, kisi ko chale na mouka, 

paise ka khel, gareebon ko tardpana,

yeh badle-badle se insaan,

yeh patther sa dil, 
yeh dhoka yeh nafrat,
yeh ladai yeh siyast,
kya yahi zindagi hai?

kya maine aisa kaam kar diya

aye khuda kya maine aisa kaam kar diya, 
ke tune har gum jo mere naam kar diya, 

main to chahta tha zindagi insaan ke jaise, 

ke tumne haalat ka hi mujh ko gulam kar diya, 

koi gum nahi teri duniya se mujhe jaane ka, 

bas jaane se pahle pyar bant to lene do, 

ke chand pal hi sahi jo dost mile hain mujh ko, 

sath unke chand lamhein kaat to lene do.

abhi baaki hai zindagi isse jeena hi padega

abhi baaki hai zindagi isse jeena hi padega, 
amrit ho ya zaher isse peena hi padega, 

waqt se pehle doston kuch bhi naseeb hota nahi, 

agar khali kar gayi zindagi haath,
har raja ko fakeer hona padega,

iske aage piche hai,

milan-judai khushi-ruswai, 
par agar kismat saath ne de,
to har tabahi ka saath dena hi padega.


bas kisi ka nahi chalta iske jor ke aage,
jhasan ho ya maatam,

iske shor ko sehna hi padega.

jaane kyu abhi bhi baaki hai,

yeh be-rukhi si zindagi,
humein mile khushi ya ho dukhi,
saanson ke aage humein jhukna hi padega.

I had a dream

I had a dream about you a dream so wonderful, 
I wish it could be real you were with me nurturing with your love.

we were in our own world all alone, 

it's a place where fragrance of love is scattered and no pain.

it's a place where no one could ever reach, 

I wish the dream would turn in to reality.

but I have realized that its just a dream, 

in reality its never the same.

in reality your love grew tire some, 

my heart is torn apart and I couldn't stop crying.

for I longed every moment to feel your gentle touch, 

when I think of her it pains.

and in my eyes it rains, 

I still love you but time has mended my heart.

but never shall your memory part, 

and you will always have a special place within my heart.

you will always be the first, who touched me so deep,

and in my heart, will I always keep.

memories of you and me together for eternity, 

you taught me how to love and, darling…
you will always be my only love.



humne unhein jaane ki izazat de di

kisi na kisi pe kisi ko aitbaar ho jaata hai, 
ajnabi koi shaks aksar yaar ho jaata hai, 

khoobiyon se hi nahi hoti mohhabat, 
khamiyon se bhi aksar pyaar ho jaata hai.

palkon ki nami mein chupa kar sapno ko, 
humne unhein jaane ki izazat de di, 

hum toot kar bikhar gaye tukdon mein, 
unhein muskarane ki izazat de di. 

aaj phir barsaat ne chingari ko sulga diya

aaj phir barsaat ne chingari ko sulga diya, 
phir teri yaad ne aankhon ko rula diya, 

phir baadlon mein tera chahra nazar aa gaya, 

yaad ki boondon ne mann ki mitti ko mehka diya, 

aaj phir kuch iss tarah boondon ne mujh ko choo liya, 

teri khushboo se mere jism ko mehka diya, 

aaj kuch iss tarah hawa ne aalam kar diya, 

mujh ko zamane mein begaana bana diya, 

aaj phir baadlon ne shor macha diya, 

door kisi ki yaadon ne mujhe apna bana liya. 

hansti ankhein hansta chehra, ek majboor bahana hai

hansti ankhein, hansta chehra, 
ek majboor bahana hai,

chaand mein sach-much noor kahan hai, 

chaand to ek veeraana hai,

mujh ko tannha chord ne waale, 

tu na tannha rah jaaye,

jis pe tujh ko naaz hai itna, 

uska naaam zamana hai.

ek tanhai hi sougat mili mujhe har rishte se

kise karun bayan dil ke iss dard ko, 
har apne mein dikhayi deta, 
mujhe beganapan hai,

duniya mein bahut hai rang dosti ke, 

par jaane kyun mere liye, 
har rang mein samaya ek soonapan hai, 

chand taaro ko paane ki chahat, 

to kabhi na ki maine, 
ek pyar hi chaaha har kisi se, 
par mila jaane kyun sirf gham hai, 

bahut hai iss duniya mein saath nibhane wale, 

jaane kyun phir bhi bhari duniya mein, 
mere paas akelapann hai,

ghame-e-dard ki dastaan kab tak, 

mann mein chipa paunga sabse, 
toot kar bikhar jayega 
aakhir yeh to ek najuk sa mann hai, 

ek tanhai hi sougat mili mujhe har rishte se, 

yahi mere jeene ki wajah aur 
issne hi diya mujhe apnapan hai.

tune mujhe kho diya par maine tujhe khoya nahi

tune mujhe kho diya par, 
maine tujhe khoya nahi, 
yeh baat hai apne-apne dil ki, 
mujhe hua dard bahut, 
aur tu kehti hai kuch hua hi nahi. 

saalon pooja maine tujhe, 

pyaar ka khuda maan kar teri ibadat ki, 
aaj teri bewafai dekhkar mehsoos hua, 
ki tujh pathar dil pe, 
meri ibaadat ka asar hua hi nahi.

sach kehte hain log.. 

mohabbat ka koi sila nahi, 
kar lo beshak dil khol kar tum, 
par kabhi kisi ko mohabbat se, 
gham ke siwa kuch mila hi nahi.

tere chale jaane ka, 

kuch yun asar hua hai mere dil par, 
main ho gaya hoon masroof ghamon mein, 
par kabhi aankh bhar ke roya hi nahi.

main teri yaad liye phirta hoon

main teri yaad liye phirta hoon, 
zakhmon ki baaraat liye phirta hoon. 

dekh ke zinda mujhe hairaan kyun ho, 

ek dil-e-barbad liye phirta hoon. 

un se ek mulaakaat abhi bhi hogi, 

be-wajah yeh aas liye phirta hoon. 

pyaar mein dil-o-jaan luta dete hain, 

yeh ajeeb se khayalaat liye phirta hoon.

meri haalat pe aanshu bahaate kyun ho, 

aye zamaane.. teri saugaat liye phirta hoon. 

yeh sher mere aakhiri afsaane hain, 

inhi mein dil ki aawaaz liye phirta hoon, 

agale janam mein hogi woh sirf meri, 

iss baat ka vishwaas liye phirta hoon.

chaah kar bhi tord na paaye kaisi yeh zanzeer thi

jaane koun si thi woh ghadi, 
jab tumse mulakaat huyi, 
dil ho gaya bechain, 
jaane kya baat huyi.

yuh to kayi baar dekha tumhein, 
magar nazar yun to na mili thi, 
mast bhanwre to kai dekhe magar, 
dil ki kali yun to na khili thi.

naakaam huye kyu pyaar mein hum, 
kuch aisi hi takdeer thi, 
chaah kar bhi tord na paaye, 
kaisi yeh zanzeer thi.

inhi zanzeeron mein bandhe, 

teri judaai ki saza seh rahe hain, 
jaane kiski aankhon mein base ho tum, 
aanshun ke samandar mein hum beh rahe hain. 

khabar hai dil ko ki laut kar na aaoge tum

din mein tardap-tardap ke, 
hum dil ko bezara karte hain, 
tanhai mein ro-ro kar, 
raaton ko gujaara karte hain. 

tarasti hain aankhein, 
unhein ek pal dekhne ko, 
aayine mein chupke se, 
aanshu ka ishaara karte hain. 

khabar hai dil ko,
ki laut kar na aaoge tum,
sabr kar yahi yaadon se, 
gujaara karte hain.

baarish ki bheegi boondein si,
palko mein chhipakar,
tere liye dilbar aakho ko,
sanwara karte hain.

seene mein chhupa kar yaado ko,
umar gujaar de magar,
dastak de dil par koi kaise,
yeh gawara karte hain.

aake bas chale jaate hain yeh log

yeh waqt aaj mere sath hai phir, 
yeh waqt bhi dheere se sath kyu chhord deta hai?  

koi hamein dil mein apne basata hai phir, 

apne dil mein se kyu nikal deta hai? 

pehle aapni zindagi hamein bana leta hai, 

phir humko hi uski zindagi mein se kyu mita hai? 

kuch pal ke liye hamari zindagi ban jata hai, 

aur phir hamein bataye bina hi,
zindagi mein se kyu chala jata hai? 

karte rehte hai pyaar ki hamesha mithi baatein yeh,

par woh pyaar ke naam ka hi mazak kyu bana jata hai? 

aake bas chale jaate hain,  
yeh log pyar ka khel khel ke, 
aur hamari zindagi ko ek mazak kyu bana jate hain? 

ek ladka deewana sa, ek ladki ko bahut chahta tha

ek ladka deewana sa, 
ek ladki ko bahut chahta tha, 
har pal uski yaadon mein jeeta, 
har pal muskurata tha. 

shayad apne saath ho rahe dhokhe ko, 
woh khud se hi chupata tha aankhon mein nami, 
aur hothon pe muskane sajata tha. 

sachi mohabbat ki usne phir bhi, 

har pal thukraya jaata tha, 
ek hassi dekhne ko uss ladki ke hothon par, 
woh khud ko dard pahunchata tha. 

bahut samjhaya sabne par, 

woh sabki baat taal jaata tha,  
jab bhi koi kehta usse ki woh bewafa hai, 
to andar hi andar mar jaata tha. 

saanse jaise usse de chuka, 

dil bhi ussi bedard ko de aaya tha, 
uss ladki ke baatein aisi jo 
har pal usse gham de jaata tha. 

phir bhi uski khushi ke liye, 

sab kuch kar jaata tha, 
uski bewafai ko khud ki 
mohabbat ka inaam batata tha.

bhool gayi, chord gayi woh bewafa usse, 

par woh to uske naam ki, 
hi joti dil mein jalata tha. 

shayad najuk dil tha uske paas, 
isiliye chahte huye bhi, 
usse nafrat na kar paata tha. 

ek ladka deewana sa, 
ek ladki ko bahut chahata tha.

aaj samjha hoon

aaj samajha hoon, 
kyu darrta hai har koi dil lagane se? 
sirf bewaffi milti hai, 
bhale lard jaao kisi ke liye zamane se…

aaj samajha hoon, 
kyu lardta hai samndar apne kinare se? 
sirf pal bhar ki khushi, 
hi milti hai kinare ke mil jaane se...

aaj samjah hoon, 
kyu hatta nahi tufan apni zindagi mein se? 
jab aandhi hi aandhi hai, 
ab uske zindagi mein chale jaane se...

aaj samjha hoon, 

kyu barish girti hai itni saari ashmano se? 
dukh hota hai baadal ko bhi, 
waha paani ke bichard jaane se... 

aaj samjha hoon, 

kyu aag nahi bujhti nafrat aur tanhai se? 
kyuki aaj zindagi adhuri hai, 
meri uske naam ke mit jaane se...

aaj samjha hoon, 
koi fark nahi pardta kisike reh jaane se? 
woh khus rahe, yuhi bas tannha 
na ho mere chale jaane se...

aaj samjha hoon, 
kyu beh jaate hain aanshu har waqt aankho se? 
shayad usko khusi mil jaaye 
aankhon se anshu yun giraane se..

kabhi kisi se pyaar na karna

kabhi sham sitaroon ka ahankar na karna, 
kabhi kisi se ankhein chaar mat karna, 

mashwara de raha hoon tajurba hai bahut, 
kabhi kisi se pyaar na karna, 

kyon ki.. 

mohabbat ankhoon ko nam kar deti hai,  

jo na bhare woh zakham deti hai, 

sade paani ko rum kar deti hai, 
dukh pareshani aur sirf sitam deti hai, 

kushhaal zindagi ko narakk bana deti hai, 
gir ke na uth sake itna sitam deti hai.

somewhere I am looking for you

love.. look at the moon,
somewhere I am looking for you, 

sharing a sea of emotions,
a river of ever flowing feelings,

throw the site of this love symbol
I am out of your garden, 

but still as a fragrance in your surroundings,
I am out of your concious,

but still making you feel my presence in memories,
I am out of your sight,

but there in your dreamz alway,
someone truely said..

and I realize it tonight,
this paper is not enough for feelings,

I need a piece of sky...
many wishes are left my love,

many dreamz lost….
tears of hope in your eyes.

tears of separation in mine,
you please take care..
of all my love we shared together,
I am gone.

ek saccha dost aaj bhi hai tera

hum to sachi dosti rakhte the aap se, 
naa jaane kis rishte ki darr se dosti tord di mujh se? 

ab aap humein bhool jaane ko kahte ho? 
ab aap apni yaadein mitaane ko kahte ho? 

par kaise teri yaadein mitaun main? 
kaise tujh ko bhulaun main? 

jahan jaata hoon teri justaju rah jaati hai, 
kaise tera ehsas chipaoon main? 

iss zamane ke riti-riwazo mein, 
humara rishta kuch aisa uljha, 
lakh chaah kar bhi yeh na suljha. 

ab sab jankar bas yahi dua hai meri, 
sada kush raho tum, 
sari khushiyaan ho puri, 

yeh aakhri alvida hai mera, 
sada yaad rakhna.. 
ek saccha dost aaj bhi hai tera. 

aitbaar kar ke chout kha chuke hain

aitbaar kar ke chout kha chuke hain, 
apne bardast ki hadd ko bahut aazmaa chuke hain, 

khud ko takleef huyi to ehsaas hua, 
kitne teer doosro par chala chuke hain. 

mere dukh ki daastan woh sun kar bole, 
aap yeh kissa pehle bhi suna chuke hain, 

saalon tak jo mere humsafar rahe the, 
aaj mera naam tak bhula chuke hain. 

aye bewaffa! badi deir kar di.. 
aap ke mareez jaan se jaa chuke hain.

saach to yeh hai ki usko meri yaad na aayi

saach to yeh hai
ki usko meri yaad na aayi,
mere chahat bhare dil ki
us ne kabhi keemat na jaan payi,

mohabbat mein maine uski
apni har arzoo mitayi,
par us bewafa ne
mujh par kabhi mohabbat na lutayi,

sandesha bhi bhejwaya aane ka apna,
par woh bewafa milne na aayi,
aankhe dhoonti rahi aakhri dum tak usko
par woh meri janaze tak bhi na aayi. 

All Time's Favourite Posts