yeh kaisi jang humne ladi hai.

dhool mein dabe huye, waado ke fasane,
aaj bhi hai kayam, par kisi ne na jaana,
ki kisi ke intezaar mein aaj bhi khadi hai,
yeh kaisi jang humne ladi hai.

gareeb ho gaya yeh shahar tere jaane ke baad,
kuch bhi mila nahi mere yahan aane ke baad,
waqt ke hath bas, ek yaad gheri padi hai,

yeh kaisi jang humne ladi hai. 

woh pagdandi,  jo gawah thi hamare payar ki,
kabhi baitha karte the panah mein uss deewar ki,
mazbooriyon ki aaj mere hathon mein hathkdi hai,

yeh kaisi jang humne ladi hai. 

kuch lamhon ka hi sahi tere payar ka ehasaas,
judai ka gham aur mera yeh dil sadiyon se udaas,
phir bhi koi kya jaane yeh dolat kitni badi hai,

haai.. yeh kaisi jang humne ladi hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts