na jaane woh kis shehar mein rehte hoge

kaun se ghar mein na jaane woh mehakti hoge,
mujh se bichard kar kis shehar mein rehte hoge,

unse yeh kehna humein yaad bohat aate ho,
aye hawaon woh kabhi tum se to milti hoge.

isse pehle to bohat sada-o-masoom thi woh,
baad mudat ke jo dekhunga to kaise hoge,

yeh alag baat mere hath nahi ayeinge,
gham se ghabra ke kabhi khat to woh likhte hoge,

khatam ho jayega har taaluk mere sath,
mein nahin hunga na koi mere jesa hoga,

unse milne ke liye khud ko na bholo raaj,
woh achanak jo mile tum se to phir kya hoga.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts