yeh ishq kabhi na marta hai

karlo chahe kitni bhi koshish, 
yeh ishq kabhi na marta hai,
din guzrati hai, raaten bit jaati hai,
par yeh dil issi tarah dhadakta hai.

karte hain kitne pakke irade,
ki chahenge na usko hum,
par jab bhi tannhai milti hai,
dil yaad ussi ko karta hai.

woh kare humpe kitne sitam,
yeh dil kuch na keh pata hai,
ho kitni bhi burai unmein,
har sitam mein unka bhala dikhta hai.

maan sakta hai dil har baat,
har kathin safar tay kar sakta hai,
par sath na ho jo humdam gar,
to judaai se hi bas mar sakta hai.

yuh to milti hai khushiyan kitni,
par iss khushi ke jaisi koi khushi nahi,
mangle jo jaan bhi woh pyar mein,
to hans ke woh de sakte hain.

kahte hai log ishq na kar,
iss ishq mein nikamma ho jayega,
par sach to yeh hai jo ishq mile,
to hi yeh dil kaam ka banta hai.

ghum mile khushi mile,
kuch farq itna nai padta hai,
yeh ishq hi aisa jazba hai,
jo chaknachur kar deta hai.

hai ishq mein itni takat ki,
yeh buraai har dilse door kare,
iss ishq ka dard milne par hi,
yeh dard ka matlab samjhta hai.

phir dene se pahle dard kisiko,
yeh dard apna yaad karta hai,
deta nahi phir dard kisiko,
bas khushiyan phir baatne lagta hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts