na jaane kyun aaj baar baar yaad teri aayi hai

woh atit ke gehare samundar mein samayi hai,
na jaane kyun aaj baar baar... yaad teri aayi hai.

aaj phir koi khol gaya darwaja uun yaadon ka,
aaj phir koi mangta hai hisaab unn waddon ka,

aaj koi nata na sahi, magar mera ek hissa the tum,
meri veeran zindagi ka ek, khushnuma kissa the tum,

waqt se na a kasi, yeh saza, humne payi hai, 

na jaane kyun aaj baar baar... yaad teri aayi hai. 

woh chupke-se mere ass-pass anna tera,
woh saheliyon se chipkar piche se hath hilana tera,
woh achchanak samane aakar aksmat muskurana tera,

woh chai ka cup aur hath ka niwala mujhko dikhana tera,
waqt se iss dil ne bahut sard chot khayi hai,
na jaane kyun aaj baar baar... yaad teri aayi hai.

hum kuch keh na paaye, woh waqt ki kami thi,
yaad hai.. kyun us din teri aankhon mein nami thi,

kuch pal hi sahi humare kadmon talle na jami thi,
zindagi bhi shayed kisi anhoni se sahmi thi,

aur kya kahun... bas meri annkh bhar aayi hai,
na jaane kyun aaj baar baar.. yaad teri aayi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts