meethi-meethi teri yaadon ke sahare, waqt apna ab main bitaane laga

pal pal ab dil mera,
khayalon ki duniya mein kho jaane laga, 

nasha yeh tere pyar ka,
kuch iss kadar mujh par chhaane laga, 

ab zikar sirf juban par tumhara hi aane laga,
par juban ko kya dosh doon yaaron, 
jab chehra aankhon ko tumhara hi dikhayi dene laga.  

tumse milne-milane ko,
kuch kehne-kuch sunane ko,
ab hazaron bahane dil mera banane laga, 

dil akela shamil ho to kuch karoon yaaron,
be-mausmi hawaon ka, rangeen fizaaon ka, 
ab mausam haseen kuch jayda lagne laga, 

ab main udaas ho jaane laga, 
ho raat ka andhera, ya din ka ho ujaala,
meethi-meethi teri yaadon ke sahare,
waqt apna ab main bitaane laga. 

nasha yeh tere pyar ka,  
kuch iss kadar raaj par chhaane laga,
subah se shaam aur shaam se subah,
ab to dimag bhi naye-naye tarike sujhane laga.

na paa ke sang apne tujhe,
ab sapne khuli aankhon se main sajaane laga. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts