milne aana kabhi-kabhi

raat jaagna kabhi-kabhi,
nazrein churaana kabhi-kabhi,

khubsurat ho tum, yeh kehkar,
itraana kabhi-kabhi,

chand ke saamne, sharmakar,
chali jana kabhi-kabhi,

khwaabon mein mujhko dekhkar,
muskurana kabhi-kabhi,

aaiyene mein husn dekhkar,
chandni mein jaana kabhi-kabhi,

kitaab ke panne palatte huye,
seene se lagana kabhi-kabhi,

nazrein churakar duniya se,
mujhse milne aana kabhi-kabhi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts