tab yaad tumhari aati hai

jab log nazar na aate hain,
tab yaad tumari aati hai,
jab manzar sab kho jaate hain,
tab yaad tumhari aati hai,

jab door ashma par laali ho,
jab sham udaasi wali ho,
jab jasbaat ka daman tutta ho,
jab aas ka daman chhuta ho,
jab apne dard sataate ho,
tab yaad tumhari aati hai,
tab yaad tumhari aati hai.


jab chanda jhalak dekhlata ho,
jab suraj dhoop nahata ho,
jab sawan ghir ghir aata ho,
jab thand ka mausam aata ho,
jab bahar hamein hasati ho,

tab yaad tumhari aati hai,
tab yaad tumhari aati hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts