kaun karega iss desh ka udhhar

kal main dekh raha tha tv pe news,
urd gaya dekh ke mera bhi fuse,

badh gayi hai mattra balatkar ki iss desh mein,
kaun hoga balatkari, kaise aayega, kis vaish mein,

akeli naari ka sadak pe niklana bhari hai,
har insaan ko dekhti hai sakk ki nigah se,
jaise koi balatkari hai.

kya rah jayega insaan ka mol,
bhari hai jaha balatkarion ka mail-jol,

police bhi nahi karti hai iss problem ko solve,
kuch hadd tak inka bhi hai ismein gappa-gol,

kaun tordega iss desh ki system ki poll,
jinke pas hai takat aur paisa, unka yaha raaj hai,

iss desh ke aise hi nagrik hain aur wohi bhardwaaj hai,
har gunah yaha paise aur takat ke samane chhota hai,

aur aam aadmi yaha bin paide ka lota hai,
har insaan ko yaha jagrukh rahena padta hai,
aur police kambal ordh kar sota hai.

paidaishi har bhoj woh jhel raha hai,
aur balatkari har naari se khel raha hai,

kaun karega iss desh ka udhhar,
gunehgaar khade hain jaha har dwaar,
balatkarion ki jaha hain bharmaar,
aur har aadmi hai jaha laachar..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts