ghamo ne khareed li kismat humari

ghamo ne khareed li kismat humari,
phir bhi humein to aapni kismat par naaz hai,

ruk jaati hai kuch pal baad khushi ki laher,
par ghamo ke saye ka har pal aagaz hai,

deta har pal saath tumhara palkein bichaye yeh,
phir kyun tumhari nazar se yeh nazar andaaz hai,

ghamon ne khareed li kismat humari,
phir bhi humein to aapni kismat par naaz hai,

tannhai mein yeh tumare saath tannha hota hai,
chup chap baith kar tere saath rota hai,

maana sabhi ko tera dil bahal jaata hai,
par ashq nikalaate hain jab, yaad woh aati hai,

tumse pyaar jatane ke yeh iske andaaz hai,
par khusi se bachana yeh gham ka raaz hai,

ghamo ne khareed li hai kismat humari,
phir bhi humein to aapni kismat par naaz hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts