aye zindagi tujhse bhi mil lenge kabhi

aye zindagi teri talaash thi humein,
par teri talaash mein humne khud ko kho diya,

ussi raah par jahan hum dhund rahe the tujhe,
uss raah par humein woh mil gaye,

woh jise paakar aisa laga jaise mujhe manzil mil gayi,
aisa laga jaise mujhe zindagi mil gayi,

jo tujhse hota basar yeh zindgaani,
wahi sab kuch humein unse mil gaya,

paa kar phir usse humne,
teri talaash ko dafn kar diya,

khush hoon main inhi haalaton mein,
jo usne mujh ko hain diye,

hain chahe dard ke kaantein apne daaman mein,
par chahat ke phool bhi ussi se hain khile,

sochta hai raaj kyu na usse zabt in nigaahon mein kar loon,
chahe door chale jaaye woh kabhi,
par jab chahe main unka didar kar loon.

raha gar waqt meharbaan to hum phir bichdenge na kabhi,
gar diya khuda na phir kabhi dusra janam,
to aye-zindagi tujhse bhi mil lenge kabhi. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts