tardap ke main aata rahunga, dil apna jalata rahunga

bulaongi jab jab tardap ke bhi main aata rahunga,
ashko mein bhinga bhinga ke, apna dil jalata rahunga.

bana lunga mukaddar aahon ke aashiyane mein,
hathon ki lakeerein, tannha raahein batata rahunga.

mujh mein shamil yaadon ki saugaat tu hi hai,
keh keh tujh ko apna, tute arman sajata rahunga.

alfaaz bhi khare nahi utarte dard-e-dil mitaane mein,
cheer cheer dil sahi, nagma-e-ishq sunata rahunga.

aarzoo ke sahil se jafa-e-lehar ban takraati rehna,
lahu ki rait pe naam tera, likh likh mitaata rahunga.

jab naa bachi sansein, kyun bacha raha raaj?
dhadakan nahi seene mein, par dil dhadkata rahunga.

andheri shaam ke andhere mein bas chuka saya mera,
ujaale ki umeed mein hoon, yeh sabko batata rahunga.

tardap ke main aata rahunga, dil apna jalata rahunga.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts