na milo to rooth jaati hai

na milo to rooth jaati hai,
milo to mushkilein barhati hai,

badi paagal hai yeh zindagi meri,
na khul ke milti hai,
na hum ko chhord hi pati hai.


khud hi bunti hai yeh rishte mujhse,
aur phir inmein fansa deti hai,
mujhse waada to nahi uska koi phirbhi,
ek ankahi si baat par,
ek ansuni si ummeed jaga deti hai.

humne sar aankhon pe bhitha rakha hai jisse,
in khayaalon mein dulhan sa saja rakha hai jisse,
jaane kya pardhti hai in aankhon mein woh,
khud hi deti woh haath mere haathon mein aur,
jaane kya soch ke phir haath chhuda leti hai. 

badi paagal hai yeh zindagi meri,
na khul ke milti hai,
na hum ko chhord hi pati hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts