din bhar tere khayaloon mein doobey,
jab raat ko takiye par ser rakha,
to ek anjaani khushi mahsoos huyi,
khawab mein tere dedar ki khushi...
ki yahi to ek mumkin jarya hai tujh se milne ka,
ya iss baat ke khushi ke kal ka sooraj
tujh se mulakkat ki tareek ko kareeb layega,
lekin iss khushi mein jahlakta hai ek ajeeb sa daar,
ki agar saari raat tere hi yaad mein neend nahi ayi to,
tujh se milne ki khawish to adhoori rah jayegi,
aur mere dil ka chain-e-karar jo tujh se hai,
woh naseeb na hoga...
issi kash-ma-kash mein na jane kab annk lagi mere,
tere tasveer ko nigahoon mein paa kar yeh mehsus hua ki,
ab main neendon ke safar mein hoon,
aur tu mera hamsafar hai hamesha ki tarha.

No comments:
Post a Comment