aankhon se beh rahi aaj phir koi kahaani hai

saanse hi bachi bas mere hone ki nishani hai,
aankhon se beh rahi aaj, phir koi kahaani hai,

bheege hue patto par fisalti sarakti si jaa rahi,
pal pal khatam hoti hui mit-ti si zindgaani hai.

seene pe bikhre hai jo armaan toote se yahan,
baaton ka hunar hai kuch yaadon ka paani hai.

le aati hai kareeb usse baar baar tannhai meri,
muskura main kehta hoon, yeh baatein purani hai.

urda deta hoon lafzon ko iss kaid-a-asman mein,
ki sisakti huyi raatein aur madhosh jawaani hai.

royi hogi bohat woh bhi, mita ke sacche pyar ko,
dil-e-nakaam ka guroor hai, ya ek nadaani hai.

haan bin tere jiya kab, zinda yeh laash uthani hai,
sach... saanse hi bachi, mere hone ki nishani hai,
aankhon se beh rahi aaj, phir koi kahaani hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts