opar se lagte hain maamooli ander kaafi gehre hain

jaane pehchane chehron mein anjaane bhi chehre hain,
uper se maasum hain lekin, ander se yeh gehre hain.

insaan ko insaan ki khatir, insaan giraaye nazroan se,
yeh kaam nahi kuch bhi acha, phir bhi ser par sehre hain.

aaj ki duniya kal na hogi, iss par itna naaz na kar,
paani ki yeh khatre hain, rait pe jo ke tehre hain.

dil ki baat bataaein kis ko, behron ki is basti mein,
apne do ek dost hain lekin, woh to sada ke behre hain.

bharte-bharte hi yeh bharenge, raaj yeh dil ke chot hain jo,
opar se lagte hain maamooli, ander kaafi gehre hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts