main hairaan reh gaya

murd ke dekha jo maine to hairaan reh gaya,
ki insaan aaj sab, siwa insaan reh ho gaya.

ek jhooth se bhar pet usse anaaz mil gaya,
phate note sa jeb mein imaan reh gaya.

wade ko apne tune kiya jhootha iss liye,
ghar bante bante mera hi makaan reh gaya.

neta nahi paata apne kaam se koi vote,
uska sahara geeta-aur-quraan reh gaya.

tauba yeh chalte log, yeh shor, yeh dhuan,
paane ko sukoon bass ab shamshaan reh gaya.

tere darr par khada tha main, mere dar par khadi thi maut,
kaun haasil kisse karen, yeh imtehaan reh gaya.

khuli thi aankh meri zakhm ke jalne se yak-a-yak,
ujlat-e-chaaragar sirhane namakdaan reh gaya.

dil se nigaah tak nigaah se gayi dil tak,
baat ko tarastaa kucha-e-zubaan reh gaya.

ab ummed na hogi unki inaayat,
woh meherbaan kya ho, jo khud pe meherbaan reh gaya.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts