benaam tha rishta tera aur mera

bahut khubsurat tha wo manzar
jab tune mujhe apnaya tha,

lagta tha mujhko jaise tujhe,
khuda ne sirf mere liye banaya tha.

duniya ki nahi ki parvaah,
jab tune mera sath nibhaya tha,

teri baatein te-ri harkaton ne,
mere dil ko churaaya tha.

aadat ho gayi thi tu meri,
har sans mein tujhko basaya tha,

kurban kiya tha sab kuch tujh par,
apna khuda tujhe banaya tha.

karta gaya main teri har baat par yakin,
jism-o-jaan bhi tujh par hi lutaaya tha,

main samajhta tha tujhko sirf aapna,
aur tu to kisi aur ka hokar aayi thi,

teri duniya thi mujh se alag,
par meri duniya mein sirf tu samayi thi.

kar naa payi tu raaj se wafa,
jab tune apne raaj pe ilzam lagaya tha,

deti rahi tu mujhe pyaar ki kasme,
teri kasmo ko kab tune nibhaya tha?

kahti thi karti hoon tujhse be-intaha pyaar,
pyaar ka matlab kab tujhe samajh aaya tha?

benaam tha rishta tera aur mera,
badnam usse tune banaya tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts