aye zindaagi suno mujhe koi fark nahi pardta

aye zindagi suno mujhe fark nahi pardta,
tum ek pal ke liye ho ya ho sau saal ke,

hogi chhoti si bayaani,
ya banegi koi lambi kahani,

ya mit jaaoge khaak banke,
ya amar honge itihaas banke,

ya khushi se bhara har din hoga,
ya gum ka mela laga hoga,

ya kaante hi milenge raah mein,
ya bichhe honge phool pyaar ke,

kya fark pardegain baato se,
nahi bhaagna mujhe kahi bhi halaato se,

bas ek hi ichha hai meri
jab tak raho tum sang mere,

dekh sakoon, pehchaan sakoon,
zinda-dili se jee sakoon har pal,

chaahe khushi ho ya gum,
bas jaaye mere jehan mein
chhuu sakoon har haalat mein,

aye zindaagi suno mujhe koi fark nahi pardta,
tum ek pal ke liye ho ya ho sau saal ke.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts