aaj kuch likhna chaha, to main likh hi nahi paya,
kya marr chuke hain ehsaas saare, jo shabdon ka sokh hai chhaya?
kyu chah kar bhi meri kalam, aaj chal hi nahi paayi,
koi anjaana khauf hai dil mein, ya anjaani khushi hai aayi?
aaj utha ke bhi kadam apna, main neeche rakh nahi paya,
kyu aaj chahte huye bhi, main ek kadam bhi chal nahi paya,
mord kaisa liya hai zindagi ne, yeh samajh paana mushkil hai,
aaj lag raha hai jaise, mujh mein hi chhipa mera kaatil hai.
bechaini iss kadar badh jayegi, mujh ko yeh ehsaas na tha,
aaj main bilkul tanha tha, aaj koi bhi mere paas na tha.

No comments:
Post a Comment