tere naam anek tu ek hi hai

har desh mein tu har vesh mein tu,
tere naam anek, tu ek hi hai.

sagar se utha badal bankar,
badal se gira pani bankar,

phir nahar bana, nadiya gehari,
tere bhinn prakar, tu ek hi hai.

har desh mein tu har vesh mein tu,
tere naam anek, tu ek hi hai.

chiti se annu parmannu bana
har jeev jagat ka rup liya,

kahi parvat-vriksha vishal bana,
shiv shambhu mere tu ek hi hai,

har desh mein tu, har vesh mein tu,
tere naam anek, tu ek hi hai.

yeh drishya dikhaya hai jisne,
woh hai gurudev ki punya kripa,

bas main aur tu sab ek hi hai,
har desh mein tu har vesh mein tu,
tere naam anek, tu ek hi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts