main to ek samunder hoon
jis ki tahon ko sametna mumkin nahi,
hazaroon loog aate hain,
apne dard, apne raaz sammete,
mere ander gumm ho jate hain,
kabhi hansta, gungunata deriya aata hai,
apni hasti se be-khabar aur
be-khabri mein mujh mein mil jata hai,
kahi se ghusse mein bal-khati,
bekhudi se machalti nadi aati hai,
chupke se meri aaghoosh mein so jati hai,
mahino ki rahein taye kerta karwaan,
hazaaron sapne sajaye aata hai,
iska mehal numa lehar,
sahil ko kuch door choodne ke baad,
khamooshi se mujh mein panaah dhoond leta hai.
sab ke armaan aur sapne
issi khamoshi se soo jate hain.
main to ek samunder hoon
main to har ek ka gum sahne ki takat rakhta hoon,
aur har ek ko gale lagane ki sahuliyat rakhta hoon.
lekin kya kabhi kisi ne mere dard ke bare mein soocha hai?
kya kabhi kisi ne meri tardap ke bare mein soocha hai?
jab mera dil phat-ta hai to kya hoota hai,
meri ek chinghaad si sunayi deti hai,
jis se sari duniyan kaanpti dikhayi deti hai,
aur mere jazbaat ke raile mein
har cheez fana hooti dikhayi deti hai.
kya nadi, kya dariya,
kya yeh dharti, tilla aur pahard,
sab khamooshi se mujh mein samane lagte hain.
phir meri khamooshi,
badi khamooshi se laut aati hai
aur har koi mere kadmoon mein
apne rudan le ker aane lagta hai
kyuki main to ek samunder hoon
har ek phir se mujh mein samane lagta hai
apni apni rudan sunane lagta hai aur
main phir se sab ko gale lagane lagta hoon

No comments:
Post a Comment