imaan se apne gir gaya hai aadmi

insaan se haiwaan ab ban gaya hai aadmi,
berahmi se aadmi ko maar raha hai aadmi.

ghar se nikalna bhi ab mushkil lagta hai,
har pal darr ke shaaye mein ji raha hai aadmi.

hindu bhi kush hai aur muslmaan bhi kush,
chorahon par roz ktal ho raha hai aadmi.

mandir aur maszid mein bhagwaan khamosh hain,
aaj ke daur mein khud bhagwaan hai aadmi.

begunahon ke khoon se manate hain holiyan,
imaan se apne gir gaya hai aadmi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts