marna bhi mushkil hai, aur jeena bhi lachari hai

dard yeh sara keh kar bhi, kaisi yeh bekarari hai,
sare anshu baha diye par, aankh abhi bhi bhaari hai.

sailab-e-ask mein bhi jo, tasweer kahi tumahri hai,
hum ko paar lagayegi woh, kashti wahi humari hai.

dil to pehale de chhuke, ab zindagi ki baari hai,
tu mile na mile humein, apni puri tayaari hai.

jaan humein jab doge tum, tab ki tab hi dekhenge,
kehne sunne mein lekin, yeh baat bahut hi pyari hai.

karz-zindagi ke aage, har shakhs hi bhikari hai,
marna bhi mushkil hai, aur jeena bhi lachari hai.

ashk jo zahir kar den tab hi, gum ki kimat ayegi,
iss deewani duniya ka sara, karobar ishtehari hai.

teri zafa teri wafa mein, kya rakhein aur kya chordein,
dil bata tu hi mujh ko, kaun sa kaam tujhe pyari hai.

mujh ko ghumhin dekh ke tune, anshu kyon bahaye hain,
kaun si aag lagani hai, yeh kaun si chingaari hai.

wafa ki baat karoon to woh, duniyadari ki baat karte hain,
unki nazar mein aaj bhi yeh ishq koyi bimaari hai.

mere yeh anshu thukra ke ab, woh jaane kis aur gaye,
jaate jaate itna bole yeh, jheel bhi ab to khaari hai,

abhi unpe marne do, baad mein main jee bhi lunga kal,
jeene jaisi baaton pe, kyon itni mara-mari hai.

unko jaan gaye jab se, jaan yeh unmein hi rahti hai,
itna kab main janata hoon ki, jaan kaise ab pyari hai.

jaan se bhi jo pyare the, hum sath na unke ja paye,
aazad nahi ab.. hum pe sasnon ki pahredari hai.

marne ki tum baat karo to, hassi humein to aati hai,
dard humein bhi milta hai, tannha bhi raat guzari hai.

khali nahi milta koyi, khud hi yeh bojh uthana hai,
duniya se phir kyon bolein, dard bahut hi bhaari ha.

to sadmein deti ja, mujhko bhi tay kar leane de,
teri kitni tayari hai, meri kitni tayari hai.

ghum ki kalam lagayi thi, anshu ke phool khile hain ab,
tere joor ko raas nahi, yeh zakhmon ki phulwari hai.

tu humein na mili kabhi, lekin hum zinda to hain,
main jo tujh se haar gaya, tu bhi mujh se haari hai.

hal nahi jiska koyi us par charcha ka kya maane,
kaise din kaata hai humne, kaise shaamein guzari hai.

pahli baar hua hai aisa, ro kar bhi chain mila nahi,
ankh to halki hai ab lekin, dil abhi tak baahri hai.

dard mile har din naye, tab bhi hum to zinda rahe,
ghum mein na jaan gayi, kaisi hum ko bimari hai.

beeti hai dard-e-tufan abhi, na meethi meeethi baatein karo,
neend se jaag gaya lekin, baki abhi khumari hai.

meri wafa bhi khata meri, teri khata pe hai enaam,
main kyon itna sada hoon, tu kyon itni pyari hai.

kitne hi rang mile isme, kitni hi khushbu paayi hai,
mausam jo keh daale tune, ghazal nahi phulwari hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts