sach meri bhool hi to hai

kitni aasani se keh diya tha,
mera pyaar ek bhool hai,
mere armaan, mere khawaab
yeh sab ek bhool hai,
kitni berahami se keh diya tha...

haan aaj maanta hoon,
yeh ek bhool hi hai,
pyaar se pyaar ki bhawana,
meri apni bhool hi hai
sach kaha tha,  jaan gaya hoon.

jo do bund aanshon hain gire
woh bhi ek bhool hai,
jo chitkaar uthi dil se
ek bhool hi to hai.

bhool hi to hai jazbaat yeh,
par kya karoon,
agar yeh bhool hi hai,
phir bhi baar-baar kyu hota hai?
kyu har baar usi bhool par chalta hoon?

kabhi sawaal bankar,
to kabhi jawab bankar,
khud se lardta hoon,
yeh bhi to ek bhool hai,
haan sach mein meri bhool hai.

har baar maaf karta hoon,
tujh ko nahi khud ko,
main khud hi bhool karta hoon,
khud rota hoon,
khud se pochhata hoon.

aakhir har baar,
har baar aisa kyu karta hoon
jaan boojh kar, anjaam jaankar
nahi sochata hoon,
sach meri bhool hi to hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts