beet chuki hai raat ab jo,
afsaane to wohi sunayegi,
hota hai din jab ek nagma,
raat ussi ko to gungunayegi.
hariyali jhrdi hai jab perh se,
patjhad ki kahani sunayenge,
mohabbat mein khayi jo haar hai,
to nagmein aanshoon rulayenge.
chaat pe chardh door jitna bhi dekhein
raat nabh ke taare dikhayegi,
hota hai din jab ek nagma,
raat ussi ko to gungunayegi.
jala hai patanga deep mein,
jab bhavrah phool mein band hua hai,
mohabbat hi aage laata hai dil,
jab papeehe ki pi-pi sunta hai.
humesha hi humnein yahi mana,
mohabbat ki ruh tarpayeghi,
hota hai din jab ek nagma,
raat ussi ko to gungunayegi.
zameen pe ab ho raha hai kya,
ithaas bankar dohraayenge,
aur baaton ki tarah isko bhi,
log ek din bhool jaayenge.
jo bhi hai aaj kahani,
woh kal humari zubaan yeh batayegi,
hota hai din jab ek nagma,
raat ussi ko to gungunayegi.
kaanta chubha gar paav mein to,
uss zakham par dard hi hoga,
ghabrao nahi mere dost lekin,
zakham waqt pe bhar jaayega.
aagosh mein waqt ke beithi hain jo
zindagi to thoda rulayegi,
hota hai din jab ek nagma,
raat ussi ko to gungunayegi.
din hai dooba aur raat hai aayi,
so jaa sapno mein kho jaao,
nahi pa sakte ho din mein jo,
tum raat sapnon mein paajao.
raaj dard sahoge aaj gar to,
subhah suhanni hokar aayeghi,
hota hai din jab ek nagma,
raat ussi ko to gungunayegi.